Chapter 1 THE MESSAGE
Ek ladki thi jiska naam Noor tha. Uske gaal, baal aur aankhen itni khoobsurat thi ki koi bhi use dekhkar uski tareef kiye bina nahi reh sakta tha.
Main aur Noor bahut achhe dost the. Ek din main apne room mein baithi thi ki achanak Noor ka message aaya.
Maine message padha aur turant use call kiya. Lekin usne phone nahi uthaya.
Maine dobara call kiya.
Phir teesri baar.
Lekin har baar phone ring hota raha.
Ab mujhe ghabrahat hone lagi thi. Aaj subah bhi Noor ne mujhe kuch ajeeb kaha tha.
"Agar kal main tumse baat na karun, to mujhe dhoondhne ki koshish mat karna."
Us waqt maine uski baat ko mazaak samjha tha.
Lekin ab...
Sab kuch alag lag raha tha.
Main turant Noor ke ghar ki taraf nikal padi.
Question
Aakhir Noor ne aisa kya message bheja tha aur woh itna darr kyun rahi thi?








