PURANI YAADEN
Halki-halki baarisht ho rahi thi aur thandi, dheemi hawa chal rahi thi. Mausam mein ek ajeeb sa sukoon tha. Thik usi waqt, baarisht mein bhigti hui ek ladki daudti hui ghar ke darwaze par aakar ruki.
Uske khubsoorat ghungrale baal paani se halke-halke bhig chuke the, aur kuch latein uske saavle chehre par chipak si gayi thin. Usne apni hatheliyon se baalon ka paani jhatka aur ek gehri saans li. Is ladki ka naam Muskan tha.
Muskan ka nature behad sensitive tha. Woh choti-choti baaton ko dil se laga leti thi. Muskan ka breakup hue 1 saal ho chuka hai, per woh abhi bhi pareshan hai or kisi cheez per focus nahi ker paa rahi. Tabhi muskan kea papa usko btate ha hi ki “Police ki Bharti ka form nikla hai, tum bhar do.”
Muskan sochti hai ki zindagi mein kuch toh karna hi hai,toh form bhar hi lena chahiye. Papa btate hain ki unhone ek academy mein baat ker li hai . Kuch din baad papa muskan ko waha chhod aate ha.
“Zindagi ne ek baar phir se naya raah dikhayi hai,
Magar dil meia ab bhi wahi purani tanhai hai…
Kadam badh rahe hain ek naye safar ki taraf,
Par darr hai ki is mod per bhi kahin sirf ruswai hai.”








