Chapter 1_Birthday
Chapter 1: 18wah janamdin
Horaira mansion.Raat ka waqt.Haya ne horaira ko salam Kiya Horaira ne Halka sa face turn kiya ankhoon me agg full gangster look black kapre pehne hoe wo halka SA face turn kar ke Haya se boli
(Jo Kam Maine bola tha wo ho gya)
Haya boli
(Yes boss jaisa Apne kaha tha bilkul waisa hi hua. Ab Sultan Durrani aapko tang nahi kare ga."
Horaira ke honton par ek sard muskurahat aayi. "Good."
Haya ne himmat karke pucha, "Boss, Sultan Durrani ka kya karein?"
Horaira ne bina palak jhapkaye, thande lehje me kaha, "Uski kahani khatam karo."
Haya samajh gayi aur chali gayi. Horaira ke chehre par muskan ayi, ek pathar-dil, khaufnaak gangster ka muskan.
Thori der baad Haya lounge me aayi, "Boss, aapki aunt aur uncle aapse milne aaye hain."
Horaira bahar gayi. Saad Shah aur Zoya Shah sofe par baithe thay. Horaira daud kar apni aunt se lipat gayi.
"Uncle, Aunt, aapko khud aane ki kya zaroorat thi? Aap mujhe batate, me aa jati."
Zoya ki aankhein bhar aayin, usne Horaira ke gaal ko chua. "Bas tumhari yaad aa rahi thi. Tumhe dekh kar aisa lagta hai jaise aaj bhi Zayan Bhai aur Ayesha Bhabhi hamare saath hain."
Horaira ki aankhein nam ho gayin. Saad ne mahol ko halka karne ke liye kaha, "Hmm, aaj Horaira ka 18wan birthday hai aur tum aisi baatein kar rahi ho."
Zoya hans pari, "Beshak! Aaj meri pyaari si gudiya ka birthday hai!" Usne taali bajayi aur guards qeemti tohfon se bhare dibbe lekar andar aaye.
"Ye lo, meri taraf se tumhare liye," Zoya boli.
Saad ne mazaak me kaha, "Ye meri taraf se bhi hai, Choti Behan. Sara credit khud lena chahti ho."
Zoya hansi, "Haan, tumhari taraf se bhi hai, ab khush?"
Phir Zoya ka lehja sanjeeda ho gaya. Usne Horaira ka haath pakra. "Horaira, aaj tumse milne aane ka mera ek khaas maqsad hai. Ab tum 18 ki ho gayi ho. Ab sahi waqt hai apne dushmanon se badla lene ka."
Horaira ki nami wali aankhon me ek dam aag bharak uthi. Usne thandi awaz me kaha, "Me apne mom-dad ke qatil ko nahi chorungi.Or unki tasweer ko dhekhne lage."
Usne dil me socha, Shehraz Malik... tumhe apne paise aur taqat par bohat ghamand hai na? Ab me tumse sab se pehle yehi cheez cheenungi.








