Hemant & Noina: The Love Story Of Namant
अपने दोस्तों के साथ शेयर करें
पढ़ने योग्यता कस्टमाइज़ करें

Hemant & Noina: The Love Story Of Namant

Yashraaj Singhania

सारांश

It an imaginary fanfiction between Hemant Virani and Noina in Kyunki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi and Kyunki Rishton ke bhi roop badalte hain.

शैली
Romance
लेखक
Yashraaj Singhania
स्थिति
१८ घंटे पहले
अध्याय
3
रेटिंग
5.0 (1 समीक्षा)
आयु रेटिंग
16+

Hemant & Noina - Namant's Love Confession

The rain had turned the road into a sheet of silver. It hammered the roof of Noina’s car, and the wipers swept frantically across the windshield, revealing the road for only a second before the water blurred it again.

Hemant leaned over the open hood, trying to figure out what had gone wrong. After a few minutes, he stepped back, completely soaked. He wiped the rain from his face and looked at Noina.

Hemant: “Yeh abhi theek nahi hone wali. Iss baarish mein toh bilkul nahi.”

Noina: “Toh itni door sirf yeh batane aaye the ki gaadi abhi theek nahi ho sakti?”

Hemant: “Tumhari help karne aaya tha. Lekin iss baar lagta hai baarish ke saamne meri bhi nahi chalne wali. Jab tak baarish kam nahi hoti, gaadi start nahi hogi. Chalo, main tumhe ghar chhod deta hoon.”

Noina glanced towards the road. Water rushed along the edges of the pavement, and the headlights of a passing car shone through the downpour like blurred stars.

Noina: “Abhi nahi. Iss baarish mein nikle toh kahin beech raaste mein phans sakte hain. Thodi der ruk jaate hain.”

They took shelter beneath the narrow roof of a stranded bus stop. It offered little protection. The wind swept rain beneath it, and the cold dampened their clothes. Still, it was better than standing out in the open.

For a while, neither said anything. They simply watched the rain hammer the road, listening to the storm fill the silence between them.

Then Noina turned towards Hemant.

Noina: “Ek baat kahun? Mujhe na, yeh bahut ajeeb lagta hai. Jab bhi main kisi musibat mein hoti hoon, tum na jaane kaise bilkul sahi waqt par aa jaate ho.”

Hemant’s mouth curved into a faint smile.

Hemant: “Coincidence!”

Noina: “Har baar? Hemant, coincidence toh tab hota hai jab hum dono galti se ek hi colour ke kapde pehen lein. Lekin jab baar-baar ek hi insaan tumhare saamne aa jaaye, jab bhi tumhe uski zaroorat ho... toh phir use sirf coincidence kaise keh sakte hain?”

He turned towards her, curious about where she was going with this.

Hemant: “Toh tum kya kehna chahti ho?”

Noina lowered her eyes for a moment before looking back at him.

Noina: “Mujhe lagta hai hum dono ki zindagi mein ek doosre ka wapas aana shayad ittefaaq nahi tha. Hum dono apni-apni jagah akele the. Dono ne kisi na kisi tarah apna koi kareebi insaan khoya tha. Aur phir dheere-dheere humne ek doosre se baat karni shuru ki, ek doosre ke liye waqt nikalna shuru kiya... aur pata hi nahi chala kab hum ek doosre ki zindagi ka hissa ban gaye.”

She gave a small, almost nervous laugh.

Noina: “Tum ise coincidence keh sakte ho, lekin mujhe lagta hai shayad iske peeche koi wajah hai.”

Hemant: “Aur tumhe lagta hai iska koi matlab hai?”

Noina: “Haan. Shayad zindagi humein ek aur mauka de rahi hai. Khush rehne ka... dobara kisi ko apna banane ka.”

Hemant looked away. The rain ran in streams down the edge of the bus stop roof. He had spent so long telling himself not to want that happiness that even hearing her say it aloud made him feel unsteady.

Noina watched him for a moment before speaking again.

Noina: “Ek saal pehle tak toh hum ek doosre ki shakal tak nahi dekhna chahte the.”

Hemant: “Tumne toh bahut politely describe kar diya.”

Noina: “Tab hum dono ke paas apni-apni wajah thi. Apne gusse the, apni galatfehmiyan thi. Lekin phir waqt ke saath sab badalne laga. Hum dost ban gaye... aur phir kahin na kahin...”

She stopped midway, unsure whether she should continue.

Hemant turned towards her.

Hemant: “Kahin na kahin kya?”

Noina: “Kuch nahi.”

Hemant: “Noina, bolo na.”

She swallowed, gathering the courage to say what she had been holding inside for so long.

Noina: “Kahin na kahin mere liye sab kuch badal gaya, Hemant.”

Hemant: “Kya badal gaya?”

She held his gaze. Her voice was quiet now, but steady.

Noina: “Main tumse pyaar karne lagi, Hemant.”

Hemant stared at her. Rainwater slid from his hair onto his cheek. For a moment, he looked as if he had heard her but couldn’t quite understand what she had said.

Noina forced a small smile.

Noina: “Tumhe abhi kuch kehne ki zaroorat nahi hai. I know, yeh sab tumhare liye achanak hoga. Main bas chahti thi ki tumhe sach pata ho. Main ab aur apne dil ki baat chhupa nahi sakti thi.”

Hemant opened his mouth, but no words came.

Her smile faltered.

Noina: “Please, mujhe apni baat poori karne do. Main tumse kisi jawaab ki umeed lekar yeh sab nahi keh rahi. Na hi main tumse yeh expect karti hoon ki tum bhi mere liye wahi mehsoos karo. Bas ab tumhare saamne yeh dikhawa karna mushkil ho gaya hai ki tum mere liye sirf ek dost ho.”

Hemant: “Lekin Noina...”

Noina: “Ek saal pehle tumhare aas-paas rehna bhi mujhe pasand nahi tha. Tumhara attitude, tumhari har baat par argue karne ki aadat... sab kuch irritate karta tha mujhe. Aur aaj dekho...”

A tear slipped down her cheek.

Noina: “Aaj din mein kuch bhi ho, sabse pehle tumhe batane ka mann karta hai. Subah uthti hoon toh sochti hoon ki aaj tumse kab milungi. Kabhi-kabhi toh coffee peete hue bhi bas yahi sochti rehti hoon ki tum kya kar rahe hoge.”

She laughed through her tears, but the sound broke halfway.

Noina: “Mujhe khud nahi pata chala ki yeh sab kab hua. Shayad hamari un chhoti-chhoti nok-jhok ke beech. Shayad un subah ke waqt mein, jab hum saath baithe hote the aur kuch kehne ki zaroorat bhi nahi padti thi. Ya phir us din, jab tum bina kuch soche meri help karne aa gaye the.”

She looked at him again, her eyes filling up.

Noina: “Bas itna pata hai ki jis insaan ko kabhi main apni zindagi se door rakhna chahti thi, aaj uske bina apni zindagi imagine bhi nahi kar paati.”

Hemant took a step towards her.

Noina instinctively stepped back.

Noina: “Please, Hemant... mujhe bolne do. Bahut mushkil se himmat jutayi hai maine yeh sab kehne ki. Mujhe apni baat keh lene do.”

He stopped, looking at her with concern.

The rain crashed against the roof. Noina held herself together with all the strength she had left.

Noina: “Mujhe pata hai tumhare liye yeh sab accept karna aasaan nahi hoga. Aur main tumhe blame bhi nahi karungi.”

She took a shaky breath before continuing.

Noina: “Main samajhti hoon ki tum mujhse pyaar kyun nahi kar sakte. Maine Mihir aur Tulsi ke saath jo kiya uske baad tum kya, shayad main bhi khud ko maaf nahi paayi ab tak. Bahut selfish thi, Hemant. Aur aaj mujhe apni galti ka ehsaas ho gaya hai, iska matlab yeh toh nahi ki mera past badal jayega.”

Her voice trembled.

Noina: “Main yeh keh rahi ki tum meri galtiyon ko bhool jao ya mujhe maaf kar do. Jo kuch maine kiya, woh chhoti-moti galti nahi thi. Uska dard aur uske consequences itni aasani se khatam nahi ho sakte. Main yeh sab jaanti hoon.”

She wiped her tears, trying to regain her composure.

Noina: “Lekin main tumse pyaar karti hun aur is baat aur apne andar nahi rakh paa rahi thi. Isliye keh diya. Tum mujhse pyaar nahi karte, koi baat nahi. Main sambhal lungi khud ko. Pehle bhi toh aise hi pyaar kiya hai maine, bina kuch paaye.”

Her eyes dropped to the ground.

Noina: “Shayad yahi meri saza hai. Jo kuch maine Mihir aur Tulsi ke saath kiya, uske baad shayad mujhe kisi ke pyaar ki umeed rakhne ka haq hi nahi hai.”

Hemant: “Bas, Noina. Bas karo.”

But Noina continued, as though she had already made up her mind about what she needed to do.

Noina: “Main tumhari zindagi se door chali jaungi. Tumhe is tarah se ki situation mein daalne ka koi iraada nahi hai mera. Waise bhi main USA wapas jaane ka soch hi rahi thi. Tumhe na mujhe dekhna padega, na meri wajah se kisi tarah ki...”

Before she could finish, Hemant crossed the space between them and pulled her into his arms.

Noina’s breath caught.

His embrace was fierce, almost desperate. He held her as if every word she’d just said had taken something from him, as if he couldn’t bear the thought of her walking away believing she was alone in this.

Hemant: “Ek baar bhi dobara aisa mat kehna, Noina. Tumhe kya lagta hai, main tumse pyaar nahi karta? Sirf isliye kyunki main ab tak keh nahi paaya? Main khud apne jazbaat ko samajhne aur tumse kehne ki himmat nahi juta paaya, iska matlab yeh nahi ki mere dil mein tumhare liye kuch nahi hai.”

Noina went completely still against him.

She slowly pulled back, looking at him in disbelief.

Noina: “Kya?”

Hemant drew back and held her face in his palms. His eyes were wet, and his face was full of all the things he had spent so long trying to hide.

Hemant: “I love you, Noina.”

She shook her head, unable to trust what she was hearing.

Noina: “Hemant...”

Hemant: “Haan, Noina. Main tumse pyaar karta hoon. Bahut pyaar karta hoon.”

He looked straight into her eyes.

Hemant: “Maine bahut koshish ki apne aap ko samjhane ki. Khud se kaha ki main tumse pyaar nahi kar sakta, sab vehem hai mera. Lekin sach kahun toh mujhe khud pata hi nahi chala ki kab tum meri zindagi mein itni important ban gayi. Main apne dil ki baat samajh paata, usse pehle hi tumse pyaar kar baitha.”

His voice faltered as he continued.

Hemant: “Har baar jab tumhare kareeb aane ka mann karta tha, main khud ko rok leta tha. Mujhe lagta tha ki agar maine tumhare liye apne dil mein jagah bana li, toh kahin main Mihir bhaiya aur Tulsi bhabhi ko haath toh nahi kar raha.”

Noina reached for his hand, but he held on to hers.

Hemant: “Mihir bhaiya aur Tulsi bhabhi mere liye aaj bhi utne hi important hain, Noina. Unke liye mere dil mein jo respect aur pyaar hai, woh kabhi kam nahi hoga. Lekin jis Noina ne saalon pehle woh galtiyan ki thi, tum aaj woh insaan nahi ho. Tum badal gayi ho.”

A gust of wind rattled the shelter. Neither of them looked away.

Hemant: “Tumne ek baar mujhse kaha tha na ki waqt ke saath sab theek ho jaata hai. Tab shayad maine tumhari baat ko itni seriously nahi liya tha. Lekin aaj samajh aata hai ki waqt sirf zakhm nahi bharta, kabhi-kabhi insaan ko badal bhi deta hai. Aur kabhi-kabhi zindagi un logon ko bhi dobara ek doosre ke saamne laakar khada kar deti hai, jinke baare mein unhone kabhi socha bhi nahi hota.”

Noina’s tears began to spill freely.

Hemant: “Pichhle kuch mahino se main apne aap se hi lad raha hoon. Har baar apne dil ko samjhane ke liye koi na koi wajah dhoondh leta tha. Lekin ab aur nahi. Main thak gaya hoon khud se jhooth bolte-bolte. Sach toh yeh hai, Noina, ki main tumse pyaar karta hun, bohot pyaar karta hun.”

He gently brought her face closer, his own eyes filling with tears.

Hemant: “Us Noina se jo tum aaj ho. Tumhari zidd se, tumhari himmat se, tumhari gusse se... aur haan, tumhari us aadat se bhi jismein tum har chhoti si baat par mujhse behas karne lagti ho. Har us cheez se pyaar ho gaya hai mujhe.”

A faint smile appeared on Noina’s tear-streaked face.

Hemant: “Maine tumhe badalte hue dekha hai, Noina. Sirf mere liye nahi, balki apne liye bhi. Tumne apni galtiyon ko accept kiya, unka saamna kiya aur khud ko behtar banane ki koshish ki. Yeh sab maine dekha hai. Aur shayad isi dauraan tum mere dil mein woh jagah bana gayi jiske baare mein maine kabhi socha bhi nahi tha.”

He paused, brushing his thumb gently across her cheek.

Hemant: “Pata hi nahi chala kab tum woh insaan ban gayi jiska main intezaar karta hoon. Kisi bhi room mein jaata hoon toh sabse pehle tumhe dhoondhta hoon. Kuch achha hota hai toh tumhare saath share karne ka mann karta hai, aur kuch bura ho toh bas tumhara saath chahiye hota hai.”

Noina tried to speak, but only a shaky breath escaped her lips.

Hemant pulled her back against him.

Hemant: “I’m sorry, Noina. Mujhe bahut pehle tumhe bata dena chahiye tha ki tumhare dil mein jo hai, woh ek tarfa nahi hai, main tumse bohot pyaar karta hun, bohot pyaar karta hun.”

She clutched his shirt, still trying to process everything.

Noina: “Tum sach keh rahe ho?”

Hemant: “Haan.”

Noina: “Kahin tumhe mujh par taras toh nahi aa raha? Isliye toh nahi keh rahe na?”

Hemant: “Bilkul nahi.”

Noina: “Ya phir tumhe lag raha hai ki mujhe bura lagega, isliye...”

Hemant: “Noina, meri taraf dekho.”

He gently lifted her face.

Hemant: “Main yeh sab isliye nahi keh raha kyunki mujhe tum par taras aa raha hai ya tumhe kisi jawaab ki zaroorat hai. Main keh raha hoon kyunki jab bhi maine apni zindagi tumhare bina imagine karne ki koshish ki, mujhe woh zindagi adhuri lagi.”

She searched his face, still afraid that the moment might vanish if she believed in it too quickly.

Hemant: “I love you, Noina. Aur yeh baat main ab tumse nahi chhupa sakta, aur naahi khudko tumse door rakh sakta hun.”

That was all it took.

Noina broke into tears and threw her arms around him. Hemant held her tightly as the rain began to soften around them. Neither tried to speak. They simply held on, crying into each other’s shoulders, while everything they had kept buried finally came into the open.

When Hemant finally eased back, he rested his forehead against hers.

Hemant: “Maine kabhi nahi socha tha ki meri Zindagi mein firse pyaar ayage aur who bhi aise.”

Noina: “Aur mujhe lagta tha ki shayad ab koi mujhse pyaar nahi kar sakta.”

He brushed the tears from her cheek.

Hemant: “Toh kyun na ab hum dono yeh sochna chhod dein? Shayad hum bhi ek nayi shuruaat deserve karte hain.”

She closed her eyes and leaned into his touch.

For a long moment, they stayed there, forehead to forehead, sharing the same breath. Then Hemant moved closer, slowly enough for her to choose. Noina answered by closing the last distance between them.

Their kiss was soft at first, then deepened, carrying all the words they had struggled to say.

A sudden crack sounded nearby.

They broke apart and turned towards the road. A tree had fallen across the street a short distance behind their car, its branches sprawled across the wet asphalt.

Hemant: “Humein ab yahan se nikalna chahiye. Chalo, gaadi mein baitho.”

They hurried to the car. Once they were both inside, the doors shut out some of the storm’s noise, but not the adrenaline still rushing through them.

Hemant gripped the steering wheel, breathing hard. Noina sat beside him, just as breathless.

For a few moments, neither spoke.

Then Hemant started the engine. The drive was careful and slow. They kept their eyes on the road, though small smiles kept appearing whenever they thought the other wasn’t looking.

When they finally reached Noina’s apartment, she turned towards him.

Noina: “Tum andar aao aur pehle khud ko thoda dry kar lo. Dekho kitne bheeg gaye ho. Bimaar pad jaoge.”

Hemant: “Kuch nahi hoga mujhe. Main theek hoon.”

Noina: “Achha? Toh yeh jo tum kaanp rahe ho, woh kya hai?”

Hemant: “Main nahi kaanp raha.”

Noina: “Hemant, please. Ab zyada hero banne ki zaroorat nahi hai. Chalo andar.”

Hemant tried to resist, but a reluctant smile gave him away.

Hemant: “Achha baba, theek hai.”

Inside, Noina took his jacket and put it in the dryer. She brought him a towel and guided him to a chair. Instead of handing it over, she stood behind him and began gently drying his damp hair.

Hemant glanced up at her.

Hemant: “Lekin tumhe karne ki zaroorat nahi hai.”

Noina: “Pata hai mujhe.”

Hemant: “Toh phir?”

Noina: “Kyunki tum pehli baar bina behas kiye chup-chaap baithe ho. Socha is moment ka faayda utha loon.”

He let out a quiet laugh.

Noina worked the towel through his hair, careful around his temples. The closeness felt different now. They had already crossed the distance between them, but each small touch seemed to make the truth of it more real.

When she finished, she stepped around to face him.

Noina: “Tumhari shirt bhi poori bheeg gayi hai. Do, main dryer mein daal deti hoon.”

Hemant: “Rehne do, Noina. Theek hai.”

Noina: “Kya theek hai? Puri tarah bheeg chuki hai.”

Hemant: “Itni bhi nahi hai.”

Noina: “Haan, woh toh dikh hi raha hai. Ab zyada mat bolo aur chup-chaap khade raho.”

Her hands went to the first button of his shirt.

She began undoing the buttons. At first, her hands moved with practical purpose, as though she were simply helping him get out of his wet clothes. But after the first few, her pace slowed. Each button seemed to take a little longer than the one before it.

Hemant watched her quietly. Noina kept her eyes on the shirt, though she could feel his gaze on her.

When she reached the last button, her fingers paused against the open collar.

For a moment, neither of them moved.

Hemant lifted his hand and gently brushed a damp strand of hair from her cheek, tucking it behind her ear. His fingertips lingered there.

Noina looked up, and the warmth in his expression made her forget the rain, the cold, even the towel still resting around his shoulders.

Hemant: “Noina...”

She answered by resting her palm against his chest. Beneath it, his heartbeat was quick and unsteady.

He leaned towards her, then stopped just short of her lips, giving her a moment to change her mind.

Noina closed the small distance between them.

Their kiss began softly, but it didn’t stay that way for long. The tenderness gave way to the longing they had both been holding back. Hemant’s hand settled at her waist, drawing her closer, while Noina curled her fingers into his shirt.

The rain tapped against the windows, but inside the room, all she could hear was their uneven breathing.

When they finally drew apart, they stayed close, their foreheads touching. Hemant’s thumb brushed her cheek.

Noina: “Ab thand nahi lag rahi?”

Hemant: “Ab toh bilkul nahi.”

He smiled, and she smiled back before leaning in to kiss him again.

As they slowly moved towards the bedroom, his shirt slipped from his shoulders and fell to the floor. Noina kept one hand in his as she reached behind herself with the other, nudging the door shut with her foot.

The latch clicked softly.

And they disappeared into the warmth of the room.

The latch clicked softly, and they disappeared into the warmth of the room.

The rain continued outside, its gentle patter against the windows filling the quiet room.

Some time had passed. Hemant and Noina lay beside each other, tucked beneath the sheets. Noina was resting against his chest, one arm loosely wrapped around him. Hemant’s fingers moved gently through her hair, occasionally brushing it away from her face.

Neither seemed particularly interested in breaking the silence.

There was something different about being together now. The hesitation, the uncertainty, the fear of crossing a line that had existed between them for so long had finally given way to a quiet sense of belonging.

Hemant gently brushed his thumb over her knuckles.

“Tum theek ho?”

Noina looked up at him, a small smile appearing on her face. “Haan. Tum?”

“Main bhi.”

She tilted her head, studying him. “Sach?”

He smiled. “Abhi bhi mujhse itne sawaal poochne hain?”

“Poochne toh bahut kuch hain,” she replied. “Bas samajh nahi aa raha ki shuru kahan se karun.”

Hemant let out a quiet laugh and drew her a little closer.

“Toh mat karo. Aaj ke liye saare sawaal rehne do.”

Noina rested her forehead against his chest. His arm tightened gently around her, and for a while they simply stayed that way.

It was a different kind of closeness now. There was no need to pretend that they were just friends, no need to pull away when a moment lasted a little longer than it should. They could finally be honest about what they felt.

Hemant gently lifted her chin.

“Kya soch rahi ho?”

“Yahi ki kal tak mujhe lag raha tha ki shayad main tumhe hamesha ke liye kho dungi.”

He looked at her for a moment. “Aur aaj?”

“Aaj lag raha hai ki shayad zindagi ne mujhe ek aur mauka de diya.”

He smiled and kissed her forehead.

“Toh is baar uss mauke ko waste mat karna.”

Noina gave him a mock-offended look. “Excuse me? Main waste karungi?”

“Tumhara kuch bharosa nahi hai.”

“Achha? Aur tum toh bade seedhe ho na?”

“Main toh hamesha se seedha tha. Tumne hi meri zindagi mushkil bana rakhi thi.”

She laughed, lightly pushing his shoulder.

“Hemant!”

He caught her hand before she could pull it away and kissed her palm.

Noina smiled, and he found himself watching her with an expression she hadn’t seen on his face before. There was affection in it, but also a kind of relief. As though he had finally stopped fighting something that had been a part of him for a long time.

He leaned forward and kissed her. Noina smiled against his lips before settling back against him.

When they parted, she stayed close, her cheek resting against his.

After a while, Hemant brushed a strand of hair away from her face.

“Ek baat poochun?”

Noina looked at him. “Poocho.”

“Tumhe kab pata chala?”

“Kya?”

“Ki tum mujhse pyaar karti ho.”

Noina thought for a moment. “Honestly? Mujhe nahi pata.”

Hemant smiled. “Aisa kaise nahi pata?”

“Kyuki koi ek moment nahi tha. Dheere-dheere hua. Pehle tumse baat karna achha lagne laga. Phir tumse milne ka intezaar rehne laga. Aur jab tum aas-paas nahi hote the, toh tumhari kami mehsoos hone lagi.”

She glanced at him.

“Lekin main khud ko samjhati rahi ki yeh sab bas dosti hai. Shayad isliye kyuki main sach ko accept karne se darr rahi thi.”

Hemant listened quietly.

He smiled. “Aur phir bhi mujhse ladna band nahi kiya.”

“Woh toh kabhi nahi karungi.”

“Achha hai. Warna mujhe lagega ki tum badal gayi ho.”

She laughed, and he brushed another strand of hair away from her forehead.

“Tumhe kab hua?” she asked.

Hemant thought about it for a moment.

“Shayad tab, jab tumhari chhoti-chhoti baatein matter karne lagi. Tumne lunch kiya ya nahi, tumhara mood theek hai ya nahi, tum kisi baat ko lekar pareshaan toh nahi ho... Main khud se kehta tha ki bas concern hai. Lekin phir ek din realise hua ki main tumhare baare mein zaroorat se zyada sochne laga hoon.”

Noina smiled faintly.

“Matlab hum dono ko hi samajhne mein kaafi waqt lag gaya.”

“Tumhe toh aur bhi zyada.”

She turned towards him. “Excuse me?”

“Arre, mazaak kar raha hoon!”

“Tum na, kabhi nahi sudhroge.”

“Tumhe bhi toh yahi Hemant pasand hai.”

She tried to hide her smile, but failed.

Her expression slowly softened. She looked down at their joined hands, tracing the lines of his palm with her finger.

“Ek baat aur hai, Hemant.”

He turned towards her. “Hmm?”

“Tumhe kabhi lagta hai ki hum jo kar rahe hain, woh galat hai?”

He didn’t answer immediately. He understood what she was really asking. The past was still there, and neither of them could pretend otherwise.

“Main yeh nahi kahunga ki sab kuch aasaan hoga,” he said gently. “Aur na hi yeh ki kisi ko kuch samajhna nahi padega. Lekin Noina, hum dono jaante hain ki hum yahan tak kaise pahunche hain. Humne jo galtiyan ki thi, unka ehsaas humein hai. Hum unhe badal nahi sakte.”

She nodded, her eyes still lowered.

“Lekin apni poori zindagi unhi galtiyon ki saza dete rehna bhi toh sahi nahi hai,” he continued. “Main tumhare past ko badal nahi sakta. Bas itna chahta hoon ki hum apna future uske bojh ke bina jee sakein.”

Noina looked up at him.

“Tum sach mein itna aasaan samajhte ho?”

“Nahi. Lekin main itna zaroor jaanta hoon ki main tumhare saath rehna chahta hoon. Aur main chahta hoon ki tum bhi bina kisi guilt ke mere saath raho.”

Her eyes grew moist.

“Tumhe kabhi darr nahi lagta ki kahin tumhe apne faisle par pachtawa na ho?”

Hemant gently took her face in his hands.

“Ek baat yaad rakhna. Maine yeh faisla kisi jazbaat mein behkar nahi liya hai. Maine bahut socha hai, bahut waqt liya hai. Aur aaj jo keh raha hoon, woh poori tarah samajh kar keh raha hoon.”

He paused, looking directly into her eyes.

“Main tumse pyaar karta hoon, Noina. Aur main chahta hoon ki tum is baat par kabhi doubt na karo.

She closed her eyes for a moment and leaned into his hands.

“Thank you,” she whispered.

“Kis liye?”

“Mujh par itna bharosa karne ke liye.”

Hemant smiled softly. “Ab tum bhi mujh par thoda bharosa karna seekh lo.”

She laughed through the tears gathering in her eyes.

“Koshish karungi.”

“Bas koshish?”

“Zyada expectations mat rakho.”

He chuckled and pulled her into his arms. Noina rested her head against him, listening to his heartbeat. He kissed the top of her head and held her close.

The conversation slowly faded. They exchanged a few more words, a little teasing, and occasional kisses. Every now and then, Noina would look up at him, as if she still couldn’t quite believe that the man she had once thought she could never get along with was now lying beside her, holding her so tenderly.

Eventually, the exhaustion of the long evening caught up with them. Hemant’s fingers continued to move gently through her hair until her eyes grew heavy.

“Goodnight,” he whispered.

Noina smiled sleepily. “Goodnight, Hemant.”

She moved closer, resting her head against his chest once again. He wrapped his arms around her, and soon they both drifted off to sleep.

For the first time in a long while, neither of them had anything to run away from.

Morning arrived quietly.

The rain had stopped sometime during the night. Pale sunlight slipped through the curtains, falling across the room.

Hemant woke before Noina. For a few moments, he remained still, looking at her as she slept beside him. Her face was relaxed, her hair slightly scattered across the pillow. There was something peaceful about seeing her like this.

He gently moved a strand of hair away from her forehead.

Noina stirred, then slowly opened her eyes.

“Good morning,” he whispered.

She blinked at him, still half asleep. “Hmm... good morning.”

He smiled.

She looked at him for a moment, then narrowed her eyes playfully.

“Kya hua? Aise kya dekh rahe ho?”

“Kuch nahi.”

“Phir?”

“Bas dekh raha hoon.”

“Kya?”

Hemant brushed his thumb over her cheek.

“Ki tum sach mein yahin ho.”

Noina smiled, suddenly a little shy.

“Main kahin bhaag nahi rahi.”

“Achha hai. Kyuki abhi tumhe jaane dene ka koi iraada nahi hai.”

She laughed softly. “Hemant, subah-subah shuru mat ho jaana.”

“Main toh kuch kar bhi nahi raha.”

“Tumhari shakal bata rahi hai.”

He laughed and pulled the blanket a little higher around her.

“Waise,” he said, “tum subah uthkar bhi itni baatein karti ho?”

“Tumhe problem hai?”

“Bilkul nahi. Bas kal raat se ek baat notice kar raha hoon.”

“Kya?”

“Tum jab soti ho tab zyada achhi lagti ho.”

Noina stared at him in disbelief before giving his arm a playful smack.

“Very funny! Tum na, kabhi nahi sudhroge.”

“Tumhe bhi toh yahi Hemant pasand hai.”

She tried to hide her smile, but failed.

“Waise,” she said after a moment, “kal raat ke baare mein sochkar ajeeb lag raha hai.”

He turned towards her. “Ajeeb matlab?”

“Matlab... itne saalon mein kitna kuch badal gaya. Aur phir bhi, aaj subah sab kuch itna natural lag raha hai. Jaise tum hamesha se mere paas the.”

Hemant looked at her affectionately.

“Shayad kuch logon ke saath aisa hi hota hai. Unke paas aane mein waqt lagta hai, lekin jab aa jaate hain toh lagta hai ki yahin hona chahiye tha.”

Noina looked at him, touched by his words.

“Tum aaj kuch zyada hi achhi baatein kar rahe ho.”

“Tumhare saath rehne ka asar hai.”

“Achha? Toh phir mujhe roz tumhare saath rehna chahiye.”

Hemant smiled. “Mujhe toh koi aitraaz nahi hai.”

She leaned forward and kissed his cheek.

“Good.”

He turned his face towards her. “Bas?”

Noina smiled mischievously. “Abhi ke liye.”

“Yeh toh na-insaafi hai.”

“Zindagi mein sab kuch ek saath nahi milta, Hemant.”

He laughed, then drew her closer and kissed her gently.

Outside, the morning had settled into its usual rhythm. Somewhere beyond the quiet of the room, the world was beginning another day. But for those few moments, neither of them was in a hurry to return to it.

They had finally found their way to each other. And this time, neither wanted to let go.

ऐप में पढ़ना जारी रखें

Inkitt ऐप में यह किताब खोलने और अपने फ़ोन पर पढ़ना जारी रखने के लिए कोड स्कैन करें।

Yashraaj Singhania को बताएँ कि आपको यह चैप्टर कैसा लगा!

सबसे नए कलेक्शन

लोकप्रिय कलेक्शन