ISHQ -E -DASTAN
अपने दोस्तों के साथ शेयर करें
पढ़ने योग्यता कस्टमाइज़ करें

ISHQ -E -DASTAN

Anfa

सर्वाधिकार सुरक्षित ©

सारांश

ISHQ-E-DASTAN By Anfa Kya kabhi barish me kisi ajnabi se takra kar dil dharakna band ho gaya hai? Ayesha - ek masoom, sharmeeli larki, jo apni duniya me khush thi. Arham - college ka famous, maghroor larka, jisko kisi ki parwah nahi thi. Ek barish wali shaam, ek takkar, aur dono ki kismat jud gayi. College me dobara mulaqat, roz ki laraai, choti choti muskurahat... aur phir dheere dheere... Kya ye sirf ek ittefaq hai? Ya yehi ISHQ-E-DASTAN ki shuruaat hai? Kya Ayesha Arham ke dil ka darwaza khol payegi? Kya Arham apne guzre hue kal ko bhool kar Ayesha ka haath thaam payega? Ek aisi dastan, jisme hai dosti, takrar, aansu aur be-inteha mohabbat! Parho aur batao, kya tumhe bhi ISHQ ho gaya?

शैली
Romance
लेखक
Anfa
स्थिति
२ दिन पहले
अध्याय
10
रेटिंग
n/a
आयु रेटिंग
13+

ISHQ E DASTAN Ka Chapter 1

ISHQ-E-DASTAN - Chapter 01

By Anfa

Shaam ka waqt tha. Aasman par badal chaye hue the. Halki halki barish shuru ho gayi thi.

Ayesha college se wapas aa rahi thi. Uske haath me kitaabein thi aur wo jaldi jaldi ghar ja rahi thi ke barish tez na ho jaye.

Tabhi achanak...

Uska pair phisla aur wo kisi se takra gayi!

Uski saari kitaabein neeche gir gayin. Barish me bheeg gayin.

"Arey dekh kar nahi chal sakti?" Ek larke ki awaz aayi.

Ayesha ne gusse se upar dekha. Saamne ek lamba sa larka khara tha. Baalon me barish ke qatre, aankhon me gussa aur haath me uski kitaab.

"Tumne mujhe takkar maari hai!" Ayesha ne kaha.

"Main ne? Tum khud tez chal rahi thi," larke ne kaha.

Ayesha ki aankhon me aansu aa gaye. Uski kitaabein kharab ho gayin thi.

Larke ne jab uski aankhon me aansu dekhe to uska gussa naram par gaya.

"Sorry... main... main Arham hun," usne dheemi awaz me kaha aur uski kitaabein uthane laga.

"Ayesha..." Ayesha ne bhi dheere se kaha.

Barish tez hoti ja rahi thi. Dono ek hi chhat ke neeche khare the. Khamoshi thi, sirf barish ki awaz thi.

Arham ne apni chhatri Ayesha ki taraf barhai.

"Ye lo, tum bheeg jaogi."

"Nahi, mujhe nahi chahiye," Ayesha ne mana kar diya.

"Ziddi ho," Arham ne muskura kar kaha.

Us waqt Ayesha ko pehli baar laga ke uska dil kuch alag tarah se dharak raha hai.

Kya ye sirf ek takkar thi? Ya yehi ISHQ-E-DASTAN ki pehli line thi?

kya in ko ishq hou ga ya nhi

--------------------------------------------------------------------------

Chapter 2 ka lie comment kara

Anfa को बताएँ कि आपको यह चैप्टर कैसा लगा!

Anfa
Anfa

best

३ दिन

सबसे नए कलेक्शन

लोकप्रिय कलेक्शन