Namal
Share with your friends
Customize readability

Namal

Zumar._.yusuf

All Rights Reserved ©

Story Notes

Mystery thriller romance revenge a never ending cycle unpredictable story Unity great family bonding crime lewers He fell first and ( qurani shahadat)

Summary

Nimra Ahmed's novel Namal is an intricate tale of murder and revenge revolving around Surah Namal of the Holy Quran. Namal is a novel full of suspense and surprises. Namal is a carefully spun mesh work of interwoven threads that are unraveled to the reader slowly and gradually.

Status
3yrs ago
Chapters
13
Rating
5.0 (1 review)
Age Rating
13+

Hamara Saadi / namal chapter 1

Na mudayai na Shahadat

hisab paak hua


______________________________________

Aur Khuda ne Salam Kiya nu'h AS par aur unke beton par or farmaya


Phailte jao or zameen ko bhar do

Tumhara Khof or tumhari haibaat

Hogi zameen k har darinde par asman k har parinde par zameen par rengne wali har shey par samandar ki tamam machlio par tumhare tak wo pohchai jaye gi har zinda muharik shey tumari ghiza hogi or jese mene tumhe ata kiye hai sabzard pody wese he main tumhe har shey ata karu GA

Magar tum mas ko uski jaan k sath

Nhi Khao gey or uski jaan uska khoon hai or main tumse tumhare khoon ka hisab lu GA har darinde or har insaan se or main yakeenan hisab lu GA har insaan se uske sathi insaan ka


( ehad namaye kadeem torat )


Sehen tareek tha or neel baranda

Neem Roshan fajar ki do azane di ja chuki thi or asman gehra Jamuni tha

Barande ke agy kothariya dar kothariya thi jinke darwaze salakho dar the or jinki mayli diwaro par lakeery nishaan or Naam se likhe they

Kuch kaydi so rahe the to kuch jaag rahe the

Yaha zindagi do intahao k darmiyan latak ti thi

Seyah dhari safed dhari se bikul alag ho chuki to fajar ki teesri azaan gujne lagi hawa mozan ki awaz ko paro pay phelaya or sehen phenk diya


Allah sabse Bara hai

______________________________________


Aesy main do pehredar tehelty tehelty

Ek zetoon k sath a ke khary ho gaye

Ek ne beeri sulgayi or dusry ko peshkash ki jise usne mustarib kar ke dubara us kothari ko dehka jiske samne woh khary they phir dusry sipahi Abdul shakuur ne bhi usky dekha or has k sar jhatka


"Muhammad Deen baar baar is bad Mizaaj aadami Ko Na Dekha Kar Teri humdardi se voh aur Sher ho jaega "


Usne muh se dhua chodte tamdeekh ki


______________________________________

Main Gavahi deta hun k Allah ke siwa koi asa nhi jiski ibadad karni chahie


Muhammad Deen tasuf sey usi kothari ko dekhta raha jismein Safed Libas mein malbuus kaidi Namaz ka kapda bichha raha tha


" kya Namaz padhne se

Allah maf kardeta hai "


Muhammad Deen ne mayus awaz main puchaa kaidi ab kalaiyon se asteen nechey kar raha tha jo usne wazu k leye upar ki thi uski un dono ki janib pusht ( back ) thi


" katal Kabhi Maaf Nahin Hota aur iski Tarah Jisne apni biwi aur Sake bhai ko katal kiya ho to usko to kabhi nahin hogi mafi "


Beeri ka Bara sans andar kheenchty Abdul shakuur ne fatwa kiya


______________________________________

Main gavahi deta hun ki haztar Muhammad ( sew) Allah ke rasool hai

______________________________________


" Magar Iske aur iske bhai ki biwi ke Talukat the isne to gerat main katal kiya tha yahi sun ne main Aya hai tabhi to chaar saal sey jail main hai "


Muhammad Deen zetoon ke sath teck lagaye taharum se uski taraf dekh raha tha

______________________________________


Namaz ki taraf aao namaz ki taraf aao

______________________________________


Kaidi ab jainamaz k siry pay khara takbirat parta rafyden kar raha tha

Barande ki neel Roshani main urka neem Rukh wazy tha safed shalwar

Safed kurta bikul kafan Jesa ab gardan jhuki thi or hath sine par they or kadre lamde Baal 2 inch ki pony main bandhe they uska amumi tasur kisi saaf suthry karde unche or mazboot shaks ka tasur parta tha


______________________________________


Salah ki taraf aoo Salah ki taraf aoo

______________________________________


" biwi ko talak de deta bhai se taluk tor leta katal karna zaruri tha or log namaz toba woda k leye nahi par tey inko rehayi chahie hoti hai "


Beeri ka ek or Kash lagate talkhi se keh kar sar jhatka


" magar ek bat manne ki hai apne gussy k alawa ye banda bura nhi hai tuje para hai iska intelligence main bohot unchaa ohda tha acha Sona jawan tha par biwi Asi mili k.. Tch tch

Zindagi barbad ho gayi faris ghazi ki "


andar faris ghazi ab ruku main jhuk raha tha

______________________________________


Namaz neend sey behtar hai

Namaz neend sey behtar hai

______________________________________


Awaz ab mulayam ho kar zetoon k pero se takra rahi thi


" Han to apna kiya samne ata hai ab ye bache ga thori huh "


Latehzayu andaz main sar jhatak k keh kar Abdul shakuur jane ko palta tabhi Muhammad Deen kisi zeher k zere asar bola


" magar woh keh raha tha k woh reha ho jaye ga "


Abdul shakuur ne herani sey apne sathi ko dekha


" yah faris Ghazi Reha ho jaega Tumse Kisne Kaha "


" wohi usne Jo Lamba Khubsurat ghunghraly balon wala Ladka Jo Har Hafte ise milane Aata Hai "


Muhammad Deen ki nigahe hanooz uspar markooz thi


Faris ghazi ab sajde main sar rakhy hua tha


" Woh woh uska bhanja or uske kehne sey kya hota hai "


"Woh jo kehta hai wo such ho jata hai pehle usne kaha k hafte war peshi hua kare gi or asa he hua or us Roz usne kaha k ye ( faris) reha ho jaye ga"


" abe to uska bhanja Tumhen Kyon yah sab batata raha hai"


Abdul shakuur beeri Munh Se hataye Muhammed deen Ko mashkook najron se dekh raha tha


" abe Mujhe kahan usi ko bata raha tha maine to Yun Hi Sun Liya "


______________________________________


Allah sabse Bara hai

Allah sabse Bara hai

______________________________________


Aazan ki awaz ab bheemi ho rahi thi


"Chor yar yeh nahi reha hone wala"


Usne Talkhi se kehkar sar beeri phenki or jalte bhujte angaro ko dekhne laga

______________________________________


Allah ke siwa koi asa nhi jiski ibadad karni chahie

______________________________________


Awaz Dam tor Gai Fiza Mein sannata Chha Gaya phir Bulbul Ne Awaz Lagai darkhton Ne Patte Jhuka Diye aur sari makhalook apni Ibadat mein masroof ho gai


Kaidi kaidi Salam Fer kar Utha Aur Jaaye Namaz ka Kona Mod Diya apni kalaiyon se aasteen upar karte hue voh salakhon Tak Aaya


Uska Chehra tube light ki Roshani mein vazye hua uski Aankhen sunehri thi unhen Sukerte hue usne UN dono ki taraf Dekha aur ungali se aane ka Ishara Kiya


Muhammad Deen anzdeek Aya

Abdul shakuur itna mutasir na tha magar usne bhi pervi ki


" Apne Kan saaf Karke dehan se suno "


Usne teekhi nazron se donon ko Dekhte Hue Kaha


" Pahli Baat wo Mera Saka bhai Nahin Sautela bhai hai dusri Baat Mere Bhanje ka naam saadi Yusuf hai aur Aakhri Baat aaida tum mujhe mere muqabil bhatakte Najar Aaye to agale Din Yahan pehra wheelchair per Doge Samajh Mein Aaya "


"ABY TERI TOO "


Abdul shakuur gussy sey agy Aya par Muhammad Deen ne uske sine pay hath rahi k usy roka


"Choro yar jane do "


Keh k uska hath pakar k usey wapis

le k jane laga


" kya HAN KYA ABHI KYA "


Faris ne Salaakhen Thame jadre Bheeche gusse Se Kaha


Magar Muhammad Deen bamushkil Samjha Bujha kar use Dur karne mein Kamyab Ho Gaya


Faris Ne Sar jhatka aur Wapis Ho liya

Subah Ki safedi Aahista Ahista phail rahi thi


______________________________________


Main zakham zakham hu

Phir bhi dikhai na dun?

______________________________________


Theek Usi Waqt Islamabad ke dusre Hissun par bhi fajar aise hi Tulu ho rahi thi

Use upper middle class Coloni mein Ek Ghar Ki khidkiyan Neeli Roshani mein nulu thi Chhote se laung Ke Samne khidkiyan Nazar Aati Agar Ghar Ki pichli Gali Se andar jao to kitchen Ka darvaja Aata aur FIR bedroom Ki khidki jisse Chehra Laga kar Dekho to Andar lamp Jal Raha Tha aur carpet per Ek Ladki namaz padh kar Salam kar rahi thi bed ke side table pe kuch daawaiya aur Pani Ki Botal Rakhi thi


Aisi davaiyan Padi Thi Jo Koi gurde wala Khata Ho Jaise Kisi Ko doner gurda laga Ho


Woh Namaz padh kar Bina Dua kiye Uthi aur Jaaye namaz Usi daraz ke khane mein rakh diya Dupatta kholkar usne Apne Bal Azad kiye Aur Chal kar study table Tak ayi aur uska Chehra waze hua

Voh sanwli si magar daraj kad dugli Patli Si Nazar Aati Thi Aankhen Bhuri palke Mudi Hui or Chamakte Hue hire ki Laung naak mein bilkul mung ke Dani jitni voh bahut Khubsurat nahi thi Magar Uske Bal bahut Khubsurat the gehre Bhure sar se kan Tak Sidhe aur FIR Aakhir se mote more curls ki Surat ghoongraly ho jate woh steps Mein the aage se Thodi Tak aur FIR kandhe Tak aur FIR Kamar Tak


Uske file uthai aur be dihani Mein Ek dabba niche Gira Diya Jismese Akhbar ki chand lifafe nikal kar Bahar gire Magar Kyunki usne Dekha Nahin tha to file uthakar study table per a Baithi Akhbar ke tarashe Uske kadmon mein Gire Rahe Kamre Mein Neem Andhera tha vah padhe na Jaate the Magar FIR Kamre ke bahar Roshani badhati Gai per Kamre ke andar failti gai aur Unki tahrir wazeh Ho Gayi


us Akhbar ke lafz keh rahe the


assistant director name

waris ghazi purasrar tarike se kamre main murda paye gaye police ne mouth ko khud khushi azeezy akarib main katal karar de diya kamre se laptop or ahem documents bhi Gayab


Islamabad Ke posh ilake per Ek na Maloom afraad ki firing ki vajah se Ek khatoon jaanbahak or ek zakhmi jaanbahak khatoon mubayina tor par kuch Roz kabl khud khushi karne wale assistant director ke bhai ki aehliya ( wife) thi


Zakhmi khatoon ke donon Gurde firing ki vajah se zaya ho chuke hai

Neez unka talook naib director ke katal ka moama hal


Police ne Sautela bhai faris ghazi ko girftar kar liya police ke mutabi apne sautele bhai aur apni rishtedar khatoon per firing karne mein bhi Usi Ka hath tha


Do Hathon ne Teji se voh kagaj samete aur dabba band karte hue almari band ki FIR Sidhi hokar Khadi Hui voh taiyar ho chuki thi aur ab Gile aur ghungrale Bal brush kar rahi thi


Fajar bite ab Bahut Der ho chuki thi aur Bahar sunhari Roshani thi Khidki ke sath Patali Gali Sath Chalte jao to kitchen ka darvaja ab Khula tha jali ki Khidki Se baton ki awazy or khane ki khushboo arahi thi


Mulazim larka chai bam par rakh raha tha Ek Hati kati Aurat Khadi Thi


" wey sadakat Amma ka Sara kam samajh mein a gaya na ab main tasali se girahi chali jau? "


Wo jase koi lambi chori bat samait rahi thi


Larke ne " Haan na chachi " kehte hue tasali karwai


Chachi ne jase faragat sey idher udhar dekha


" ye tu apni baji ka nashta bana raha hai "

usne malikan ki babat iftakhar kiya


"Han or sahab ka bhi bas 2 log he to hai is ghar Mai "


" na to teri baji ki shadi Wadi nahi hue "


"Saab Ney bohoot waqt pehle "

Usne aanda torty hue baat ko bohot kheencha


" baji ki mangni ki thi shadi bhi hone wali thi magar phir bazar main firing hue or baji ko bhi goli lag gayi bas dono gurdey zaya ho gaye kisi angrez aorat ne gurda to de diya or lag bhi gaya par mangni tut gayi phir baji ne shadi nahi ki "


" Tch.. Bichari sataees (37) athaees (38)

Ki to hogi "


" Ary tentees chontees se Kam ki nahi hai baji lagti choti hai "


Sadakat ne fakhar se Kahate Hue Tel mein aanda dala shar shar ki awaz ayi or tel main bulbule ban ne lage


" Tujhe Kaise Pata uski Umar "


Chachi ne mashkook nazro se usy dekha


" Umar ka nahi saalgira ka pata chal jata hai woh har saal par Saadi bhai card or phool Jo le kar ata hai "


" Saadi bhai Kon ? "


" le Tujhe Saadi bhai ka nahi pata"


Sadakat ne malamti nazro sey chachi ko dekha


" ary Saadi baji ka bhateeja hai bary sahab ka pota hai "


" hmm dekh asy hote hai bhateeje or tuu tu girahi ata hai to majal hai apne chacha chachi ko muu bhi dikhaye "


Sath he larke ki pusht par dhamoka jhara woh bilbila kar reh gaya


" Isileye to baji apne bhateeje se bohot piyar karti hongi hain na..? "


" Ary kahaaaa " bura mu banaye sadakat ne usi andaaz main kaha


" woh to Saadi bhai se bat bhi nhi karti milti bhi nhi or wo bhi tabhi ghar ata hai jab baji ghar nahi hoti woh usey naraz hai "


" Aye Haye kyuuu "


"purani nazargi hai baji ko jo goli lagi thi wo Saadi bhai k mamu ne Mari thi bas tab se unke Talukat ache nahi hai"


Wo sar jhukaye apna Kam karte hue k tabsara keye ja raha tha


Chachi ne pur sooch hanghara bhara


" to isileye baji ka khandan unke sath nahi rehta "


" oh nahi chachi wo to hamesha se alag rehte they or khandan main hai bhi Kon baji k ek he bahi they Saadi k abu or arsa ho gaya fout ho chuke hai

Or unki wafaad se kayie salo pehle se he ghar alag kar leye they unki biwi ki apni SaaS mtlb baji ki marhuma ammi se nahi banti thi phir bi baji Bara khayal kiya karti thi Saadi bhai log 3 behen bhai hai ye to bas kuch saalo se in ki bol chaal--"


" sadakat agar ap hamare shajraye nashar par roshni daal chuke hai to nashta table par laga dey "


Sadakat k hath se chimta girte girte bacha chachi bhateeja ghabra kar palty


Wo Cote bazu main latkaye dusre hath main Pearce pakre darwaze par khari thi or usne ye firka bagair kisi gusse ya tanz k balke bary saadgi or narmi sey kaha tha


" laya baji abhi " wo jase karant kha k jaldi jaldi kam karne laga chachi ne bhi khafi sa Salam kiya


Uske narmi se magar sanjeedgi se jawab diya or rahdari main agy bar gayi or heels ki farash se takrane ki awaz goonjti gayi


Rahdari k samne Bara sa living room tha uska aada hisa sofo se arashta tv laon tha baki nist main dining table bichien thi


Sarbarahi kursi par ek ma umr sahab wheelchair par bathaie aainak naak par jamaye Akhbar par rahe they


Woh unki daien hath ki pehli kursi par a bathi cheezy ek taraf rakhi plate uthayi kanta uthaya usme rakha


" AJ ghar kab aao gi? "


" Jaldi aaney ki koshish karu gi "


Bohot narm thehre hue andaz Mai bolti thi or uske fikre ek rawani main laboo sey Ada hote they

Wo puri bat kar k sans liya karti thi iske bawajood uska har lafz bara wazey or clear hota tha


" zumar " unho ne pukara


Zumar ne jawab main sirf " hmm " kaha


" Kal ki tareekh yad hai ?Kal kiya tha "


"Koi cricket match tha kiya? "

Usne uski itmnaan se kehte hue napkin god Mai bichaya


" Saadi ki saalgira thi wo 25 saal ka ho gaya hai "


Uske hatho ki harkat sust hue bhoori aankhon main saya sa lehraya or chehra ek dam mor kar sadakat ki taraf mutwaj ja ho gayi

Jo plazmaat table par rakh raha tha or zumar se nazre bhi nahi Mila pa raha tha bary Abba bhi Akhbar ki he taraf dekh rahe the sadakat andar chala gaya to unho ne kaha


" Kya tumhe ye yaad hai k tum kiya kiya bhoolne lagi ho chaar saal sey uske ghar Jana bhool gayi ho ded saal sey uski shakal bhi dekhna bhool chuki ho "


Zumar ne table par pary bhoolo ko dekhte hue cup muh sey lagaya boli kuch nahi uska chehra sapat tha


"wo tumari koi saalgira nahi bhoolta"


" main usy call kar lungi "


" call karna parwa karne ke mutafakib nahi hota "


Zumar ne sanjeedgi sey bary Abba ko dekha Jo ab usy he dekh rahe they


" wo Mera bhateeja hai main uski parwa kyu nahi karu gi ? "


" To phir usy narazgi khatam kyu nahi karti ho? "


" main usy naraz nahi hun Saadi mere liye Kya hai ye ap jante hai or koi bhi cheez is hakeekat ko Badal nahi sakti"


" to phir us sey milti kyu nahi ho ? "


" theek hai ap hamara nashta spoil karna chahte hai to asy he sahi "


Peyali table par rakh kar wo mukamal tor par unki taraf mutwaj ja ho gayi


" wo mujhse kyu nahi Mila jab main bimaar thi? Abba mere gurdey zaya hue the ek ajnabi aorat muje gurda dey sakti hai magar Mera bhanja mujse Milne bhi nahi a sakta kyu k uski parhayi ziyada zaruri thi? Abba woh Mera bhai tha Mera beta tha Mera sabse acha dost tha magar wo mere pas nahi tha jab muje uski zarurat thi woh england chala gaya or han woh muje waha sey call kar liya karta tha magar call karna parwa kare ke Mutarafik nahi hota na? "


" tum uski ye bat darguzar kar chuki hoti agar wo ye na kehta k faris bey gunnah hai or -- "


Zumar Rukh gayi uske tasurat badle or chehre par gehra zarb or gussa sab kuch ubhra


" Faris ghazi ka Naam mere samne mat liya kare ap bhool gaye usne mere sath Kya kiya? Agar bhool gaye hai to main yaad karwa deti hu ! "


Uska nashta jase Haram ho chuka tha

Lab napkin sey thapky unki aankhon main dekha or sapat lehjy main boli


" Wo apki bahu ka bhai uske chaar saal pehle meri zindagi barbad kardi

Usne muje or apni biwi ko ek jaga bula kar dono ko shoot kar diya takey main asal target samjhe jaun or un 3 golion ne jo meri Kamar main lagi thi k us shaks ne meri pusht par he to hamla kiya tha sirf mere gurdey nahi cheeney har cheez cheeni or saadii usne tab bhi kaha tha or ab bhi kahe ga k Mera mamu be gunnah hai great"


Dono hath utha kar usne jase kisi nadeeda hasti ho shabaash di uska rang nichur chuka tha or woh ab shadeed disturbed nazar a rahi thi


" usne Saadi k bary mamu or uski biwi ko Mara ye unka mamla hai magar usnemuje bhi marna chaha tha or ye Mera mamla hai magar Abba iske bawajood main Faris k case ko follow nahi karti main khud ko ded saal sey us case sey alag kar chuki hun

Main apni gawahi bhi wapis lay chuki hun kyu ke jab bhi is case k bary main bat hoti hai to muje naye sire se takleef hoti hai please muje Kam se Kam nashte ki table par ye takleef mat diya kare please "


Bohot dukh se wo apni cheezy samet ti khari hue bary Abba ne bary tasuf sey usy dekha phir uski aadhi chai ki piyali ko


Har Saadi sey shuru hone wali or Faris pay khatam hone wali bato pay asy he chai khane or nashte aadhe reh jate they.......

______________________________________


fajar ko bite Kai Waqt Gujar chuka tha aur Suraj abhi tak Thanda tha


Koi Buland aur alishan Mahal tha bahar security guard aur chaukidar

They aur current ki Tare bhi thi or andar amarat sabzar ke andar Khadi Thi aur andar Upar niche Aage Piche Kisi pahadiyon Ko Mana garden tha


Bahan Mein bawardi mulajim Apna Apna Kam Karne Mein masroof they

Kisi Bade function se pahle ki taiyari chal rahi thi


Ek sunhare Bob cut Wali Ladki Jo

Safed Rang aur dilkash Aankhon Ke Malik thi Hath se mukhtalif jagahon per Ishara Karke Kam Karne Walon Ko Hidayat de rahi thi Jise organiser Adab se Sar hilata diary per likhe ja raha tha


Dur Se Ek Philippino 🇵🇭 mulajma ayi Jo khush Shakal or da atamat thi or Safed blouse or tights main malboos thi chalti ayi aur Muskura kar Sar Ko kham dete hue poochha


" Kya aapko kisi chiz ki jarurat hai

Miss shehreen"


Shehreen organiser ko bata rahi thi use Phool kahan aur kaise chahie usne ruk kar bezar Nazar us per Dali


"sirf itna fiyona ki tum Har 2 minut bad ye Sawal Mujhse a kar na pucho"


Or naak sikor kar mur gayi

Fiyona ki muskurahat phir bhi barkarar rahi has ko kham de kar woh waha sey chali ayi


Yakeenan wo ( fiyona ) waha ki supervisor thi


" sab theek ja raha hai? "

Usne waha pay khary kuch Kam karte hue logo se pucha


" Perfect magar abhi party main ek hafta para hai ham tayari kuch jaldi nahi kar rahe? "


"Ahmm yaha ham koi Apna Kam Waqt se pahle karne ka Aadi hai aur yah ( hashim Kadar )Ki Beti Ki Saalgirah Hai Koi Aam bat Nahin "


Fiyona ne kadre Fakhar sey bataya

Mulazma ne kadre herani se mur ke shehreen ko jate hue dekha


" Yeh Hashim Kadar ki biwi hai na inhin ki beti Ki saalgirah hai na? "


"han Magar ye aleda ho chuke hai ye yaha Nahin rehti party ke liye ayi hai"


"To yaha Kaun rehta hai "


Mulazma ko dilchaspi Hui to usne ungali se Ishara karte hue loan ki dhalan Jahan Khatam hoti Thi vahan Ek Aam Si imarat ki taraf ungali karte hue poochha Jaise koi aanexy Ho


"Voh wo to faris ghazi ka portion hai"


Fiyona ne bura sa muh banaya


" wo (faris) Kon hai? "


" woh hashim sahab ki phopho ka beta hai magar woh ghar khali hota hai kyu ke faris jail main hai "


Phir awaz bheemi ki


"usne apne sautele bahi Mtlb apne bhai ke baap ki Pahli biwi k bete ko katal kar diya tha or apni biwi ko bhi"


"Ohh " mulazma Ki Aankhen hairat aur tejassus se phaili


"To Iske Makhdoom bhai ka voh Khandan Yahan nahi rehta ? "


"Bataya to hai uske baap ka beta tha

Hashim Sahab uski Man ki taraf se Kazan hue "


"to in sautele rishtedaron ka yahan se kya talluk "


Gossip ka muk khatam hoa to voh Munh Banakar andar Chali gai


Ghar Ke Andar dakhil hote hain uski karoper Bhari chaal Mein Aajazi a gayi usne living room par kiya jisme siriya upar ki taraf jati dikhayi deti thi Aur ghar ki Char manjilen khatm hone ke bad Chhat Aati you living room bahut aalishan taasur Dalda


Phir woh drawing room Mein Aayi aur Sarbarahi kursi bary adab se kheenchi Yahan se living room Najar Aata tha aur use Apni malikan Bhi Nazar Aati rahti thi


voh muskurati Hui Bareek heel se Tej Tej Chalti a rahi thi tights per angreji Darsh ka bagair aasteen ke ghutnon se upar aapata Libas pahan Rakha tha Halke Bhure Bal Sidhe aur Kamar per the aur Sherni Jaisi Aankhen Thi Chehra Khubsurat Mulayam woh yakeenan Kafi Umra Ki Thi Magar behad smart or taro taza thi


"Good morning miss jawaherat


"morning"


Woh Muskura Kar Jawab deti Hoe Malka ki shan se Baithi napkin God Mein bichhaye


Aur ba adab Khadi fiyona ko shini lehgy main takub kiya


" mere bete kaha hai? "


"Hashim taiyar ho rahe hain aur nosherwa Abhi Tak Nahin Utha"


Jawaherat ne jawab diye bagair plate pakri or aagy ki


"Ma'am apki Filer treatment appointment aj sham ko hai apne reminder karwane Ko Kaha "


"Aur Maine yah bhi Kaha Tha ke Asi baten Awaaz Kam rakh kar kiya karo"


Usne muskurate hue kaha


"Or apna makeup kam karo muje staff ki be raptgi bikul pasand nahi "


" sorry ma'am"

fiyona Ki Muskurahat Gayab Hui


Usne jaldi se napkin se apne Labon per Lagi red lipstick saaf ki


Jawaherat ab Nashta plate main nikal rahi thi sidhiyon ke upar pahle Kamre ka darvaja band tha or andar ac ki thandak thi aur mardana perfume ki Mahak Mein Saja kamra Mautar kar rakha tha dressing table ke Shishe Ke Samne Khada Tai ki not bandh raha tha Kot Kareeb hi dala tha Bal Mathe per Piche ko set kiye bary Khubsurat ko Shandar shakhsiyat aur Kashish Siya Aankhen bilkul jawahefat Ke Jaisi thi





Dafatan tie Darmiyan Mein chhodkar usne Waqt Dekha aur mobile pay chand botton dabaye


" Bajwa Sahab aapko Ek email bheji hai usko dekhne ke bad aap yakinan mujhse baat karna Chahenge "


Agale Ki Baat Sune bagair usne Muskura kar phone band kar diya


Phir tai ki gira band chuka to phone Baja aur FIR bajta he Gaya 6 7 call aayi Magar usne Nahin uthaya


Zara Khamoshi Hui to usne Ek Aur number Milaya


" kam ho gaya ( khawar ) us ladki amm.... jo bhi Naam Hai Uska usko bolo gayab ho jaye aur dopahar Tak meri psychiatry uski payment clear Kar Degi "


Call Kat hi thi ki fir se Bajwa sahab ki call Aane Lagi use Muskura kar Yas Kiya aur Aaine Mein Dekhte Hue khudpay perfume chhidakte Hue bola


" kaisa laga Mera Tohfa Agar Tum Nahin Chahte Ki Main is per Tumhare betiyon ki Rai Lun to Aaj board ke c

Ijlaas Mein tum Meri Ek Radha ke Hak Mein vote Doge Varna Main Kitna beraham Hun ye to Tum jante ho "


Dusre ka gussa Intezar darkhwast Kuchh Bhi Sune bagair usne phone Rakh Diya khud pay 2 3 spray kiye


Cufflinks Lagaye Kot pahna aur Bahar nik la wo jase he nikla mulazim andar jakar uska briefcase Utha liya voh sidhiyan Utar Kar niche Aaya to waha mojood jawaherat usey Hi dekh rahi thi


wo nazdeek Aya or jawaherat ka patha chuma or daien hath ki kusri khenchi or baithte hue bola


" Mera Khyal tha Mrs jawaherat ab tak office ja chuki hongi"


Sath hi Hashim mein abru se fiyona ko jaane ka Ishara Kiya


Or woh foren gayab ho gai


"Tumhari ex wife Subah Savere a Gai thi To Main Kaise jaati "


" Shehreen kyu ayi hai ?"


Hashim Ne tost per butter Lagate Hue ghair dilchaspi Se poochha


Jawaherat ne nazakat se Shane uchkaye


"Sonia Khaiaalgirah Humne use Uske Ghar Nahin karne Di to voh Hafta pahle Hi Se taiyari Shuru Karke intekaam Le rahi hai"


" Sonia ko Sath Lai hai ?"

Hashim ne pucha


Jawaherat ne nafi ( nahi ) main sar hilaya


"Anyways Bajwa ka vote mere pass hai Yun Aaj ham sab ko vote out kar denge"


Jawaherat Khule Dil Se muskurae


"yah Tumne kaise kiya"


Bistar Se uthkar nosherwa Aaya Tha aur bahut bikhre Mood Mein Aaya Tha


"aur ab kya hua hai " Hashim Ne Chhori Kante se tukra todte Hue Muskura kar usko Dekhte hue kaha


" Mera suit Barbad kar diya us jahil Riaz Ne Aap uski pay slip Uske Hawale Karen mummy maine use farig kar diya hai "


Seb uthakar usmein dant Kat te Hue voh Khafa Khafa Sa bola


24 25 Sal Ka khush Shakal naujawan tha Hashim Jitna Nahin Magar acha tha French cut or balon ki ulti bikri Spikes banaye Aankhon Mein bezaari Aur laparvahi thi





jawaherat ne na pasandeedgi sey uski bat Sunni


" tum kab bade ho gaye Hashim Jab Tumhare Jitna tha to voh Itna Chhota nahin tha "


Hashim unke Hath ke upar Hath narmi se rakhte Hue unko Toka


" Main Samjha Dunga na"


Aur FIR Nosherwa ki taraf mutawaj jo hua


" aj Tumhen office mein Najar Aana chahie "


"Aaunga bhai Magar Apne Waqt per "


Usne Muskura kar be neyazi Se Kaha


Hashim ne baMushkil

muskurahat roKi usy Nosherwa par bohot Kam gussa Aya karta tha


"subah ho chuki hai Sheru or ab tum bilkul Nahin so ge aur office aaoge "


" okaay "

wo laparwahi se Seb khane Laga


Hashim ka phone fir se bajane laga

Usne juice ka ghunt bharate Hue phone Kaan se Lagaya


" Hashim kardar "

nismani awaz ne taruf kiya


"aage bolo"


Uska lehja be lachak or sapat ho gaya


"Main kamran ke office se bat kar rahi hu ap please line par raheye ga Sar kamran apse bat kare ge "


"Apne sar se kaho main factory se baat nahin kiya karta Koi kam ho to mujhe Khud call kiya Karen "


Beneyazi se kahkar usne mobile band

kar diya


Jawaherat Nosherwa ki sari khafgi bhula kar muskurai magar fakhri nazro ka muzahera kiya


Hashim ka mobile fir se bar bar bajane laga to Sheru ko Keh na Para


"Utha le bhai bechare ki call"


" Sham ko uthaunga ise pura din zaleel hone do Kam ho to Hashim Kardar Yad a jata hai"Dekho


Hashim nashta khatm Karke ab uth raha tha Jawaherat use gardan Mod kar Dekha


"Court ja rahe ho"


" pahle office FIR Court "


"General Naveed Ke Bete wala masala Waqt par na gaya to zumar kahi settlement se inkaar he na karde

Us magrur Aurat Ka Koi Bharosa Nahin "


" Zumar ko Mera Salam Keh dena"


Jawaherat Ne Dilchasbi Se Kaha


" Sure "


Hath saaf kar k usne fhone uthaya he tha k fhone phir se Baja


" han khawar bolo "


Usne uljat main Call receive Ki Thi Magar dusri Taraf Jo kaha ja raha tha use sunkar voh bilkul ruk gaya


Aankhen suker li Aur Aahista Aahista Wapas baith Gaya


" Hmm acha khair wo pichle mahino main kisi wakeel sey Mila hai? Muje ek ek tafseel chahie tumhare pass 10 minut hai "


Sard lehjy Main keh kar usne phone band Kiya To voh donon Usi Ka Chehra dekh rahe the


Usne sirf itna kaha " faris "

JawaheRat Ke Hath se seb ki Akash fisli Aankhon Mein Uljhan Ubri


"Faris ka kya jikr"


"uska case aj uska faisla Hona hai "


Wo disturb lag raha tha

Jawaherat sans Lena bhul gayi


"Aur Tumhen ab pata chal raha hai"


Hashim Ki Aankhon Mein khafgi ubhri


"main araji ke mukadmaat Mein fasa Tha is Taraf Dhyan Nahin Gaya"


" Mujhe ajeeb lag raha hai ke iska faisla itni achanak kaise a gaya "


Dining hall main khamoshi chah gayi


Jawaherat ki muskurahat ab gayab thi wo bilkul yak tak hashim ko dekh rahi thi


" don't worry wo reha nahi hoga "


Hashim ko Kahana Pada


"use Raha Hona bhi nahin chahie aur Tum is Baat Ko yakeenan banaoge hashim "


Wo behad mustarab lag rahi thi


"main Sambhal Lunga mummy "


"Hamare is Kazan ke reha hone ka matlab hai ke Adalat ke nazdeek faris Katil Nahin Hai yakeenan Agla Sawal yah Hoga Ki FIR katil kaun hai "


Nosherwa ne seb khate Hue Kaha


Donon Ne be ikhteyae use Dekha uska hilta Munh ruk gaya


" Mai to Yun he keh raha tha "


Use kandhe uchkaye


"yah Baat Main Dobara Tumhare Munh Se Na Sunu Sheru"


Jawaherat ne bamushkil apna gussa zabd kiya or hashim ko dekha


Jase Khud bhi Vahi Sawal poochh rahi ho uski Sherni Jaisi Aankhon Mein tapish Thi


Hashim Ne Jara se kandhe uchkaye or bola


"Faisla Uske khilaf hi aaega don't worry voh Bahar Nahin aaega aur aa bhi Jaaye to mujhe koi Fark Nahin Padta "


tabhi uska phone baja aur usne foran call vasul ki


" Han Khawar hmm.. Acha "


sanjida Sapat tasurat ke sath voh Sunta Raha FIR phone Rakh Diya


"Saadi....saadi Yusuf


usne usne holy sey kaha


" Shaadi Yusuf hai asal masla "


Nosherwa Ka Chehra Yun Ho Gaya Jaise usne zehreela seb nigal liya ho

Use Mujhse kam ho to mujhe Khud call kar liya Karen


______________________________________


Mat chhedo Ham aehle janon ko ______________________________________


zumar Ne Jab gadi signal se Teji se Gujari to signal ki batti pili Thi Aur Uske nikalte hi voh surkh ho gai


Usne be ikhyaar side mirror Mein Dekha traffic sarjan usko Ishara kar raha tha


Gehri Sans Lekar Sar jhatakte usne car side per ki engine band nahin kiya button dabaya Shisha niche Sadak Gaya Use sunglasses Upar Karke ghoongraly balon per Lagaye aur steering per donon Hath rakhkar muntazir Si Nazar Aane Lagi


"Bibi apne signal Toda Hai"

voh Khidki Tak aaya aur khurdari lahje mein bola


"Signal Mere gujarne ke bad red hua tha "

usse gardan Utha Kar zara beniyazi se jawab Diya


"Nahin Ji apne Lal Batti cross Ki Hai Chalan banta hai"

book a safe paltate mamul Ke mutabik Kah Raha Tha


" ap ise apne pas rakhe kyu ke ham dono ko pata hai k mene signal nahi tora kyu ke batti pili thi "


"Batti pili thi to aapko Maloom Hona chahie Ki pili ke bad Batti Lal hoti hai aapko Nahin gujarna chahie tha"


Wo ab Kalam Khol raha tha


" FIR aapko bhi Maloom Hoga ke apke signal ka timer kharab pada hai "


Usne signal ki taraf ishara kiya


" to mujhe kase pata hota ke signal kab Lal Hona hai? "


" bibi aap behas kyon kar rahi hain Chalan Den aur jaen "


Usne Chabi ghumai aur car band kar di FIR Sar uthakar use Dekha


"Main To Chala Nahin Dungi kyu ke Meri Galti nahin hai aur office Sar aap mujhse Unchi awaaz mein Kafi badtamiji se baat kar rahe hain isliye main karungi yah ki ye car Mein site per lagaungi FIR district par phone karungi aadhe ghante Mein Yahan Bahar Ke NomanDe Aur Do mukhalif media channels ke camere Honge Aur Main ISI Jagah press conference Karke unko bataungi ki Kis Tarah na ahel traffic police Apne timer theek karvane ke bajay badtamiji khawateen ko rok kar unse badtamiji kar rahe hai


" Aur jab Sara media IG traffic ko line per Lekar unke Karya per Sawal uthaega to voh yakinan sabse pahle us officer ka naam Janna Chahenge Jisne Ek Khatoon ko galat rok kar na sirf use badtamiji ki balke usy Samey per court pahunchne se bhi roka Kyunki Main district zumar Yusuf Hun aur usse case par Jara Sa Bhi Asar Pada to main is Amal Ko yakinan banaungi ki aap apni zindagi ke agale 5 Sal Adalat ke dhakke khate hue guzare

Main jinke case rojana larti hun wo chor daku or rapist hote hai to behtar hai ap apne time par jakar apni duty Karen aur Mujhe meri duty karne dein "


glasses Wapas Aankhon per Lagaye Chabi ghumai accelerator per paon badhaya officer be ikhteyar Piche hata aur voh Zan Se car Lekar Aage chali gayi


" Allah in aorton ko zaban na de ya phir wakeel na banaye "


Woh gussy or bebasi se wapis apni jaga par jate hue bol raha tha


"Saadi... Saadi faris ka bhanja "


Jawaherat ne hairat sey abru uthaye


Nosherwa ka khana haram ho chuka tha


"voh Har Hafte Faris se milane aata hai "


Hashim gehri Soch Mein Duba Aankhon Ki Putliya sukere kisi na mehroom jaga ko dekh raha tha


" Ye to mamul ki bat hai Magar voh Mujhe Bhi Apne aaspaas Najar Aaya Hai Ek Do dafa bilkul random Jagah per Jahan uska koi Kam bhi Nahin tha

Ye ladka kuch gar bar hai "


Hashim Pahle Se Jyada disturb lag raha tha


"Hashim mujhe is Sare masale Ka Hal batao "


Wo mustarab si boli


"Mummy bhai Sambhal lega na"


Nosherwa bola

magar Hashim Ne Suna hi nahin uska dimag Teji se kam kar raha tha usne Fiyona ko Awaaz Di aur use do Dawat namy lane ko kaha


" Bahut arsa ho gaya main use nahi Mila shayad ded saal ho gaya ab use meri party main ana chahie "


Woh Jaise koi lahe Amal tarteeb de raha tha


" Oh please Agar voh aaega to main party mein nahin Hoga main use apne ghar mein nahin bardasht kar sakta"


Nosherwa ka mood bigar chuka tha


"mene use university k 5 saal bohot bardasht kiya hai ab or nahi "


Phir yaka yak uske tasurat badle Aur voh khada ho gaya


Jawaherat ne lounge ki simt dekha shehreen udhar he a rahi thi nosherwa Ka Chehra ekdam chamakne Laga

Jawaharat ne muskura kar ek gehri sans le kar dono ke chehro ko dekha


"Aap kab ayi Mujhe to pata hi nahin Chala "


nosherwa ko jase apne ruff huleye per sharmindagi hui thi


"Badqimati se ye Meri beti ki maa hai aur uski Saalgirah ki taiyari ke liye Yaha yakinan early morning hi ayi hongi "


Hashim muskura kar kehte hue Utha or mur kar usy dekha


Wo be zari se Hashim ko bina jawab diye Nazar andaz karte jawaherat ki taraf mutwaj ja hui


" mene setting arrangement final karli hai ap dekh le jega "


Phir nosherwa ko dekh kar takalufan muskurai Hashim tab tak bahar nikal chuka tha


"List main or bhi 2 Naam add karne hai Saadi Yusuf or zumar Yusuf "


Jawaherat usy sard muskurahat ke sath teshandagi ki


Shehreen Zara chonki


"SAADII.....faris ka bhanja? "


"Ap usy janti hai... "


Nosherwa ko bura laga

Wo abhi tak khara tha


" hmm

Wo sambhal ka beniyaz Nazar aaney lagi phir jab jane k liye palti to

Jawaherat ne awaz di...


" Kya tum sham main aao gi? "


" Nahi "


Wo bahar ja chuki thi


Jawaherat ne nazakat se nosherwa ko dekha or apni hath ki anguthi par ungli pherte hue boli


" wo ek din main 2 bar bhi is ghar main aana pasand nahi karti "


Nosherwa chonka phir khafeef sa sar jhatka or khara ho gaya


"Ye Saadi logo ka restaurant yaha he hai na "


Wo bat badalne ke mehez bola ya phir wo such main yahi bat karne wala tha


Jawaherat ne Zara se Shane uchka kar pani ka glass labon se laga liya




______________________________________


I'm trying my best to give u great experience of this beautiful master piece written by Nimrah ahmad and it also took a lot of energy as I have to listen to every single word and had to write exact same way so please show some love

______________________________________

Let Zumar._.yusuf know what you thought about this chapter!

Chapter Notes

Mystery thriller revenge-never ending cycle Romance he fell first great family bonding Unpredictable story unity lewers plot twist crime ( qurani shahadat)

Further Recommendations

His to protect: Major's therapist

Susan Morris: Loved this story! You have done it again. GReat character, romance and the right amount of HOT!

Read Now
Unmated

ludiw1999: Great story. Great characters. Enjoyed it

Read Now
Rules of Fatals

Ingibabes511: Loved it. Thank you for an unusual read that was beautifully put together. Every tick box was covered somewhere within the story. Your way of creating a world that felt as if it could actually exist is breathtaking, where the descriptions brought it to life. Thank you again 🥰💜

Read Now
The CEO's Secret Obsession

ja1628: Very sweet good plot did not add extra stuff to keep the story line going which is great.

Read Now
Where the Tide Finds You (Book #1 in Saltwater Creek Series)

Alicia: Always love a good romance story ❤️

Read Now
Heated Circuits

emmylee.p.: I absolutely loved this read, funny and emotional, loved the characters so much.

Read Now
His Accidental Billion-Dollar Bride

Nana: I like this genre of style as its a world of the wealthy where not many people can envisage what goes on behind closed doors....

Read Now
Leather and Legacy

Sylvia: I can honestly say that I have read this story at least three times, and I enjoyed it every single time! It is exceptionally well-written, with a great plot that keeps you entertained from beginning to end. There are very few grammatical errors, and the author’s vivid descriptions made it easy to pi...

Read Now