KHAWAB : EK ADHURI DASTAAN
Thand ka mausam , hawa mai nami thi suraj dhal rha tha aur sham ka rang chadne laga tha ek cafe ki ek piche rakhi seat pe baitha ek ladka apni kuch yadon main uljha sa tha
Kabhi muskurata to kabhi chere pe udasi jhalakati
Wo apne yadon ke sagar se jab asal duniya mai aaya to achnak uski nazar uske hi aage rakhi table pe baithy aurat pe padi
Uska chehra chupa hua tha par mano ki us ladke ka dil usse keh rha tha ki wo isko janta hai mano ek tarang si daud padi ho uske jism mai . Ek purana sa aehsas jiski ab us ladke ko zara si bhi adat nhi thi wo wapis se usko gher rahi thi
Ladka hairan tha ki achnak is anjaan ko dekh uske dil mai halchal kyu mach gayi hai . Us aurat ke sath ek pyara sa bacha tha aur sath mai baitha tha uska humsafar
Ladka apne dil ke inhi uljhe si bhawanao ko samjhne ki koshish kar hi rha tha tabhi wo ladki ghumi aur ladke ke samne ab uska chehra tha . Us ladki ka chehra us ladke ke aankho mai kuch yun chubha ki us chubhan ki jalan uske dil tak ja phohchi.
Uske kuch purane zakhm taza ho gaye the , mushkil se sambhla dil firse hazaro tukro mai bikhar chuka tha .
Ladke ke is dard ki shuruaat sallo phele hui thi
Jab ek din apni class mai baitha masti katata wo ladka ek ladki se ja takrata hai uski aankhe us ladki ki aankho mai jhank rahi hoti hai . Us pheli nazar ka kuch yun asar hua ki ladka us haseena ko apne dil mai ghar de baitha .
Ab har din wo ladka class mai sirf us ladki ko dekhta aur baki ka din iss intezar mai nikal jata ki kab din bitega aur kab firse use uske dil kash nazaro ko dekhne ka mauka milega . Uski har sans mai ab us ladki ka aehsas ghulne laga tha , har pal ab uske dimag mai bas ek chehra ghumta tha aur wo chehra ab uske liye duniya ka sabse khubsurat chehra ban chuka tha . Din bitte gaye aur ab wo ladki us ladke ka khawab ban chuki thi wo khawab jo wo ladka humesha dekhna chahta tha khuli aankho se bhi aur jab aankhe band ho tab bhi har din ab uske sath sapne sajane mai bitta tha ab har dua mai sirf uska naam hota tha ab har ghari firse uske didar ka intezar hota tha .
Inhi bhawnao ke sagar mai behta wo ladka apni hasrato ki kashti mai baitha aage badh rha tha .
Wo mauka dhund raha tha usse dosti karne ka uske thore kareeb aane ka par usme itni himmat nahi thi ki wo aage se uski taraf dosti ka hath badha sake kher himmat hoti bhi kaise uske samane jaate hi ladke ka dil aape se bahar ho jata wo apni sudh budh kho deta
Yunhi din usse dosti ki umid mai bit gaye saal badal gaya aur ab aakhiri saal tha school ka aur shayad aakhiri hi saal tha uske pyar ka
Par kehte haina zindagi ki to adat hoti hai chamtkar karne ki kuch aisa hi chamtkar hua aur uski nazdikyan uske Khwab se badh gayi .
Uske sab dost jab class mai baithe baat kar rhe the tab usme wo ladki bhi shamil thi , uske kisi dost ki dost thi wo par uske maujoodgi se to mano us ladke ke lab hi sil gaye ho us din na wo kuch bol paya na kuch samjh paya , us din sirf us ladke ne nahi balki us ladki ne bhi us pe gaur farmaiya tha ab har roz wo unhi dosto ke zariye milte aur ab unme battein bhi hone lagi thi . Kismat ne us ladke ka pura sath diya tha unme dosti ho chuki thi par usne to dosti se kuch aage ke Khwab saja rakhe the usne to apni aankho mai us sang kayi armaan saja rakhe the . Din bitte gaye dosti gehri hoti gayi dono ab apne dil ke haal bhi ek dusre ko sajha karne lage , ladke ko ab uske Khwab mai hakeekat ki jhalak dikhne lagi thi .
Unki dosti ki nauv shant sarover mai dhire dhire beh rahi thi par ek sailab aaya Is sailab se unki nauv dagmaga gayi unki dosti mai duriyan aagayi , school khatam hone ko tha
Dono ne ek dusre se vada kiya tha ki school bhale hi khatam ho jaye unki dosti khatam nahi hogi aur School ke aakhiri din jab wo mile to bohot si yadein thi unke paas, yaddien unki dosti ki pheli shuruaat ki, yadein unki sabse phele hui baat ki us din bhi us ladke ka dil use mano keh rha tha ki kuch sahi nhi ho raha par ladke ne apne dil pe zada gaur nahi kiya
Un vadon pe yakeen kar muskura kar usne us aakhiri din ko alvida kaha .
Par uske dil ki pareshani sach sabit hui .
Ladka to us ladki ke pyar mai piche reh gaya par wo ladki aage badh gayi , ladki ne wo sehar chord diya . Ab ladka us ladki se mil nahi pata tha par unki battein phone par hoti abhi bhi wo ladka koshish karta apni dosti ko waisa rakhne ka jaisa wo ladki chord ke gayi thi . Par kambakht duriyan gehri se gehri dosti ki imarat ko gira deti hai unki dosti mai bhi kayi pareshani aayi in duriyo se, kayi galat fehmiyan hui, kayi gile shikwaye hue . Dhire dhire unki battein kam hoti gayi aur fir unki battein band ho gayi . Ladka abhi bhi us ladki ko nahi bhula paya tha ab bhi usko soch uski aankhe nam hojati. Ab agar us ladke ke pass kuch bacha tha to wo thi bas uski yaadein , unki dosti ki yadein jiske shahare wo ladka is gum ko bardasht karta . Uski dosti ka kissa pyar mai badalne se phele hi khatam ho gayi
Inhi yaddon ke sath ladka din kat ta , kayi saal bit gaye ladke ke dard samay ke sath kam zarur hue par khatam na ho sake wo ab us ladki ke bare mai har pal nhi sochta tha par use bhula bhi nahi paya tha par kambakht zindagi sirf chamtkar hi nahi dikhati dard bhi deti hai
Aisa hi dard ek sham us ladke ko mila .
Use firse uske Khwab ka didar hua firse us ladki ka chehra uske samne aaya wohi chehra jise class mai ghanto tak dekhta tha wo, jisse dekhne ki talab mai har din bita ta tha wo .
Par in kuch sallo mai bohot kuch badal chuka tha , us ladki sang sajaye uska har arman saikdo tukdo Mai bikhar chuka tha , uska har ek sajaya khwab tut chuka tha .
Wo bas nam si aankho se uski taraf dekhte raha , wo kush thi apne parivaar ke sath , apni iss zindagi ke sath ladke ne bhi apne dil ko samjhaya ki "kya farak padta hai ki kisne thama hai hath uska jo khusi usse dene ka khawab tha mera wo to mil gayi na usse fir kya farak padta hai kon de raha hai sath uska"
Jo khawab us ladke ne bune the wo khawab hakkikat mai koi aur jee raha tha jo arman usne uss sang sajaye wo kisi aur ki kismat mai likhe the jisko usne chaha wo kisi aur ki amanat ban chuki thi . Ladke ko samjh aa gaya tha ki har khawab jo tum dekho wo hakeekat mai nahi badalte , tumhare sajaye arman tumhare Zindagi ke sabse gehre dard ki vajah ban sakte hai .Zindagi kabhi kabhi tumhare soch se bilkul alag parinam deti hai aur tum rok nahi sakte aisa hone se aur khawab to shayad hote hi tutne ke liye hai .
Par wo ladka aage bhi jiyega unhi yaddon ke sahare , wo sirf apni us ladki ke sang bane ache lamho ko yaad karega bhale hi wo ab kisi aur ki ho wo ladki humesha uske dil mai bane us ghar mai rahegi jo ghar us ladke ne use pheli nazar mai dekhte hi dediya tha
Yunhi wo ladka usko soch kabhi kabhi muskurayega wo yahi karte aaya hai yahi us ladke ka kamaal hai....
~ Aditya








