Chapter 1
Aaj lahore ka mosam khasi modeabana sa tha.. Sardiyon ki wo halki dil ko bhati dhoop aur har jagah haryali apna raks bikhare hui thi....
Lahore mein garmiyon ne alvida ka pegaam bharish ke hath pohcaah diya tha... Ab toh baarishein bhi pegam dekar jis rukh se aayi thi wahi ko laut chali thi november ki tand thi... Lahore ke log halki khilti dhoop mein garden aur baramado mein baithe rahte aur dhoop ke maaze lete malto ka luft bhi utha rahe the khasa naye malte bazaar mein aane shuru hua the... Aise hi aaj hashim manzil mein bhi malto ki nayi aamad hui thi aur ab unhein khaane ka silsila jari tha....
Ek badi lakdi ki paiti mein naye, bade bade malte sukhi khaas ke under badi nafasat aur hifazat ke sath rakhe gaye the...
Usi malte ki paiti ke paas wo pancho khadi thi malto ko bhooki nigahon se dekhti hui...
Tabhi ek ne badh kar hath se malta uthana chaha toh dusri ne uska hath fiza mein hi rok diya tha... Usne apne hath ko malto tak na jate dekh... Uski janib dekha jo uska hath thame hui thi ....
"Mein sabse badi hun toh sabse pahele haq mera banta h samjhi... Apne hath piche karo "...
Wo kahkar uska hath peeche jatak chuki thi wo bura sa muh banai hath seene par badh chuki thi...
Sabse badi ne jhuk kar 5 -6 malte uthta kar apne aanchal mein rakh liye baki charo ne badi hairat se usse dekha...
" Nadiya ye galat h, sabka ek ek tha ...tumhein rule ka nhi pata "... sidra jaise usse yaad karwate hui boli...
Nadiya ne usse malta chilte hua badi benayazi se dekha...
" Ha wo tumhare liye rule hoga...mere liye nhi samjhi "... Wo itlah kar paas padi chaarpayi par baith kar ek malta chil kar khane lagi....
" Aur bhale wo kyu nhi "habiba uske samne baith te hua boli thi.... Wo teeno bhi apne malta lekar unke paas aakar baithe thi ... Haniya ne ek malta tafshish se nadiya ko dekhte hui habiaba ko pakdaya tha jo ke apna malta lana bhool gayi thi...
Sab apne malte chilte hua nadiaya ke jawab ka intezar kar rahi thi...
Nadiya ne un charo ko dekha phir zara sa aage ko hokar boli...
" Kyuki mere bache bhi toh hain... "
Un charo ne usse ankhe sikod kar dekha tha..
" Aise toh bache toh ziniya ke bhi h usne toh nhi kaha kuch bhi aur bechari ek hi malta kha rahi h "... Iss baar haniya boli thi sada se apni zini aapi ki taraf se bolne wali...
" Bache nhi bacha kaho meri jaan... Iska ek hi beta h... Wo masoom sa jo kaho maan jata h... Aur dusri taraf mere dono shaitan ke chaha, taye sab kuch h...
Mujhe lagta h shayad shaitan bhi fursat mein aakar inse tution leta hoga ke bhai aap hi kuch bhala karde gareeb ka kuch Shitaniyan sikha de..
Phir batao imaan dari se ye ek khai toh chale bhi mera ek khana kaise banta tha "...
Wo safai paish karte hue boli toh habiba gusse se boli thi...
" Magar ye galat h ab dekha hani... Ko hi dekh lo ye aur koi phal chod jaye na baba na... Lekin ye bhi imaandari se ek lekar chup chaap kha rahi issi wajah se Kyuki baba ne shakhti se kaha tha ke
'saare aaj hi katam na kar dena '... Isliye ye bhi rule follow kar rahi h warna apko ye malte dusri baar mein nazar hi na aate "
" Ye tareef thi ya tanz "... Hani ne mashkook aankho se ghoorte hua hiba ko dekha tha ...
" Tareef meri choti bahena ".. Wo jaldi se boli thi...
" Ab chodo bhi... Khane do agar wo kha rahi h isme kya h baba se mein kah dungi ke saare malte ye bhukkhad kha gayi tum bhi lage hath moka maar lo "
Ziniya sararat se boli toh nadiya jo pahle uske shuru ke jumle par gardan hila rahi thi chok kar uske agle jhumle par uski janib dekha tha "...
" Haye.. Zalim ekdum hi tumne jazbaat badal diye "wo dil par hath rakh afsos bhari awaaz mein boli thi ...
.
Barande se Kuch andar ko sahen se ek zordaar awaaz aai thi...
" Tumhare abbu aane wale h jaldi se andar aao... "
Nadiya ne khade hokar idhar udhar nigah ghumai phir door kahin usse shaitaan ke taye chacha pani ka pipe liye nahate hue nazar aaye wo malte chod unki taraf haye haye karti kuch Badbadati hui bhaagi thi..
Chaarpai par bikhre malto me se haniya ne ek malta uthaaya tha..
" Hani, uske na lo paiti mein se lelo Warna janti ho na usko bina wajah lad padegi "...
Wo usse aane wale bure waqt se aagah kar rahi thi... Aur Hani taheri sada ki ziniya aseer... Woh uski baat kaise talti usne wo malta wapis rakh diya tha... Zini ne muskurakar usse ek malta paiti me se utha kar diya tha...
" Mujhe bhi de phir agar isse de rahi h " Sidra ne aage badh kar kaha haniya malta lekar khushi se andar ko dodhi thi...
" Chodo bhi sidra har cheez barabari karna achi baat nhi...wo choti h aur maine bhi toh nhi liya na ".
Hiba boli toh sidra ne usse muh bana kar dekha...
" Tum toh logi hi uski side tumhari ladli jo taheri magar bibi mujh se mother taresa banne ka guman na karo ,,laye mujhe bhi de "...
" Hiba sahi kah rahi h sidra wo choti h tum toh hiba se bhi badi ho thoda toh ab mature ho jao "
Ziniya kah kar paiti band kar chuki thi..
" Baba aur mamu ke liye bhi rakhne h humein ye zaruri nhi agar mama ne gao se free me ye bheje h toh hum aaj hi saare kha jaye bina baba, mama,mami ya ammi ka soche " Hiba ne usse smjha na chaha...
" Joa na do...meinbaba se kahkar le lungi phir toh tum dono bhi mana na kar sakogi ".aur sidra taheri sada ki zidi aur thodi bohot nakrili...
Wo bhi andar ko pair patakti hui chali gai thi...
" Ye kabhi nhi sudhregi " Ziniya ne sar mayoosi se hilate hue kaha tha...
Tabhi ander se Hani chillayi thi,..
" Zini ... Zini aapi jaldi aao nomi ro raha h "...
Nomi ka naam sun kar wo paiti chod andar ko lapki thi... Hiba uss paiti ko utha kar unke piche chal di thi... Wo andar aayi toh ammi nomi ko pass baithaye malta khila rahi thi hani bhi uske muh mein ammi ko dekho dekh malta dal rahi thi...
Zini muskurai... Nomi usse dekh muskuraya... Wo hani ka hath thame phir khane laga... Wo paas hi maseri par baith gayi...
Hina ne paiti lakar wahin rakhi aur unke paas baith gayi...
"Ammi, apko kisne diya malta "
Hina ne unke paas malta dekha tih puch liya...
"Aur kon dega hani ne diya kaha ke mera h... "
Wo kahkar phir malta khane mein mashroof ho gayi...
" Tum toh apne liya layi thi... "
"Nhi toh mein toh ammi ke liye layi thi... " Usne nomi ko pyaar karte hua kaha zini muskura di wo ammi se bhi aise hi pyaar karti jaise usse bus jatati nhi thi...
"Lao nomi ko mujhe do mein khila dungi isse " Wo usse lene ko aage badhi toh woh hani lag gaya... Aur gardan idhar udhar nafi mein hilane laga tha...
"Rahene de zini aapi mein khila dungi mere nomi ko "
Wo kahkar uske muh mein malte ki khanp daal chuki thi...
"Bhai rahene de zini aapi ye hani ka aseer h agar ye iske sath ho toh ye aapko bhi tarji na de... Ye aapka yahan rahene ka asar chota sa hi isse lag chuka tha... Yaad kaise ye kaise iske paas ruk jaya karta tha... Aur hum toh jaise isse kisi chudail ke manid nazar aate the... "
Wo muh banate hua boli...
Noman ne unhein aisa dekha jaise kah rha ho bilkul sahi kah rahi h...
"Bus karo hiba... Hamdan bhi tum se laga hua h mein toh shikwa nhi karti aur nomi ko kuch na kaho" Wouh saaf kar rahi thi... Zini ne hamesha bachpan se bahen bhai mein sabse jyada aziz rakha tha aur laad pyaar diya tha... Aur usse yun nomi se betahsha pyaar karti dekhti toh dil hi dil mein usse dua deti...
Fml pov :
So ye hashim manzil ki paanch Shezadiyan.... Jinse ye hashim manzil jaan daar thi warna toh ye sirf ek khamosh imarat hai...
Hashim manzil mein khul milakar 8 afraad raha karte h.. Magar ab shayad 8 pure na rahte ho khair se... Mere baba ki hum panch betiyaan aur ek lota beta tha...
Jo chaar baheno ke baad Hashim manzil ka chiraag bankar iss duniya mein aaya tha mera bhai kashan ... Jab wo hua tha toh ammi ko rahat ki saans aayi thi warna unki nanad aur saans ne toh unka jeena haram kar diya is baat ko lekar hi unhone bata nhi kitni duaien mangi thi ek bete ke liye...
Dadi ko aksar ladkiyon ki paltan apne bete ke ghar dekh khoft hoti thi Kyuki khush kismati se wo raheti bhi apne manjale bete ke sath thi...yani ke baba ke sath baba ke do bhai aur teen bahene thi jo ki sagi thi aur ek doodh ki bahan thi... Unki phopho ki beti thi... Unki phopho ne unhe bhi aulaad ki tarha pala tha kyuki unki koi aulaad na thi aur jabaan ke mutabik dadi ne unhein apne ghar ki tesri aulaad ko unhein dene ka wada kiya tha so de diya magar Phir allah ke karam se unke ghar ek ladki paida ho gayi phir dadi ne apne bete ko wapas le liya kyuki jabaan ka ab kya paas....
Bab ek bhai aur ek bahen se chote the... Phir char bhai bahen the wo bhi ek bhai ke baad ek bahen aise hi wo kul 6 bhai bahen ho gaye...
Toh ha phir dadi ammi ko tane marne lagi ...rahi sahi kasar nanadein aakar puri kardiya karti tayi ammi ke ghar do ladke Aur ek ladki paida ho chuke the aur choti chachi ke bhi ek ladki aur ek ladka Aur phir se umeed se thi... Ammi bechari sabke taane sun kar rah jati...
Phir kisi mojzay ki tarah kashan paida hua tha... Aur ammi ko un tanz se bacha gaya tha allah ka bada hi fazlo karam hua tha un par... Magar dadi ko laga wo bhi ladki h aur bina tasdeek kiye uske hote hi usse bed ke niche phek diyan magar sukar h allah ka ke nurse ne unhein dekh liya aur bache ko bed ke niche se utha kar doctor ko saari baat batai toh doctor ne badi gusse se unhein data tha aur bataya ke ye ladka h... Tab jakar dadi ne baba ko hospital ke bills aada karne ki ijazat di...
Ammi aur baba kai arsa tak gao mein Sare khandaan ke saath hi rahe phir baba ne shaher mein basne ki sochi kyuki amuman waqt unka shaher mein hi anaa jaana hota tha unka karobaar wahi set ho chuka tha... Magar dadi na mani... Phir jab pota hua toh wo thoda pigal gayi...
Ammi ke sath hi saher aa gayi...
Phir hui thi mein haniya hamdani...
Mein iss ghar ki sabse choti beti...
Baba aksar mujhe kahte the " Jab Hani hui thi na tab mein asal mein ameer hua tha " Kyuki ussi waqat baba ne hamara khud ka ghar banaya tha hashim manzil ... Warna toh isse phele ammi baba Aur mere bhai bahen kiraye ke ghar mein raha karte the...
Mein kahsan se daid saala choti thi ...
Sabse badi thi nadiya... Nadiya sabse badi hone ke naate har cheez ko dekhe aur jaane hui thi unhein dadi ki talkhiyan yaad thi magar baba se bhi toh pyaar karti thi toh sab kuch bhool kar dadi ko badi safkat aur izzat di balki hum sab bhai bahen dadi se mohabbat kiya karte the... Mein toh thodi si hi badi thi... Abhi chal na hi shikhi thi ke dadi ko apni cheez. Papa sab de diyan karti aur wo mere iss rade amal par muskura diya karti... Hum sab shararat kar kar... Unhe pareshan kar diya karte aur unki dante sun kar hi toh bade hue hai unke pan daan mein se chali churana hum sab ka pasandida kaam tha aur usse chori ko sar anjaam kashaan diyan karta tha... Aakhir tha bhi dadi ka ladla pakde bhi jate toh usse protection sheild ki tarah aage kar dete aur wo apna golu molu chere par mosomiyat tari karkar unke samne bada hi bhola bacha ban jata aur dadi usse datne ke bajaye usko laad karne lagti...
Kashan ke baad aur ammi ki itni khidamat guzari ke baad akhir mein unka dil pighal hi gaya tha... Wo hamre sath bohot acha se rahti khasaa safakat unme hum sab ke liye jaag chuki thi aur hum bhi unse utni hi mohabbat karte..
Ammi kabhi mashroof ho jati toh hum sab unki raat mein ghoto ki malish karti phir bari bari unke pair dabati..subah ko woh hum sab ko chali kaat kaat kar ek tukda de diya karti .. Ammi se unki mohbat aur unsiyat kuch zyada hi ho gayi wo jab dekho ammi se mafiyaan magti ki woh un par bewajah hi zadetiyan karti thi magar ammi unse yahin kahti thi jo hogaya bhool jaye wo toh kab ka bhool gayi...dadi ko sab ki kami bohot khal ne lagi thi wo ammi se har baar yahin kahti kam se kam raniya ya fariha milne hi jati...kahte h na jab kisi shaks ko uska aakhri waqt kareeb aata dikhta h toh woh khud ba khud aone kareebyon ko dekhne ki Kawaish kar baith ta h...wo bhi yahi kar rahi thi jiska unko pata tha ke ye Kawaish puri na honi thi...Aur unhe apni badi aur choti bahu se toh pani pilane tak ki umeed na thi baba ke unhein sahar laate hi wo dono toh jaise taak mein hi thi iss moke ki unhone bhi apna alag hissa le kar kahin aur bada sa ghar bana liya aur baba ko unke hisse ke paise pahuncha diye magar baba ne jab unse ue baat ki ke wo aise kaise bina unki ki Razamandi ke ghar bech sakte h kamkam se unhe dadi se toh puchna chahiye tha...magar khair se wo dono na mane aur baba se lad kar rista khatam kar chuke the baba ne baith kar baat karne ko kaha toh wo unhe hi suna kar ke wo jyada paise chahte h aur unke andar lalanch aa raha h kahakar chale gaye....
dadi ko apni sohar ki aakhri nishani nishani ko yun bigta dekh acha na laga aur beto ke beech ki takraar ne bhi unka dil halkaan kar diya tha betiyaan bhi unhe jaise bhool gayi thi beto ne toh koi rista rakhne se hi mana kar diya tha...
Phir dadi bhi kuch mahino baad chal basi... Hamre nana, nani toh thr hi nhi dada bhi nhi the bus buzurgon ke naam par dadi thi wo bhi chali gayi mein uss waqt 2 saal ki thi ammi batati thi mujhe jab bhi mein unke liye rati thi...
Baba us waqt bhi majboot bane rahe wo hamare samne na roye...
Aise din bheet te gaye... Baba huba aur mere admission ka soch rahe the kashan toh abhi padhne ke mood mein na tha albata bade baheno ko school jatey dekh hum dono ka dil chaha tha...
Sardiyon ke hi din the jab bade mamu humse milne aaye the...
Wo sahar mein koi kaam bhi jamane aaye the...
Hum un se milkar bade khush hua the mein toh meri hum umer sara se milkar badi khush hui thi aur tabhi se hamare dilo ne ek dusre ko bestie muntekhib kar liya tha .....
Magar jab unhein koi kaam jamta hua nazar na aaya toh unhone wapas gaon lautne ki sochi albatta wo itne din hamare sath hi rahe the....
Baba ne unhein mayus na hone ko kaha... Aur kaha ke woh unke liye kuch karege thode waqt mein wo koi kaam dekh kar unhein yahin bula lenge...
Mamu jaan pursakoon ho gaye
Wo jaane ko hua the Ke humne unke sath jaane ki zid ki mera man sara se door hone ka nhi tha aur uska bhi...hiba toh thi hi hamare sath har cheez mein toh wo bhi zid karne lagi aur mamu ne bhi israar kiya toh baba ne hum dono ko unke sath hi bhej diya...
Phir hua yun hum dono ka wahi dil lag gaya gao mein nana jaan ka bada sa malto aumrudo ka baag tha... Sardiyon mein toh hamari mooh hi ho gayi thi ..
Aur jaldi wapas aane ki ek yahin bhi wajah thi ke malte aur amrood ab puri tarah tayyar ho chuke the toh ab unhe tod kar bechena bhi tha...
Hamari wajah se ghar mein ronak so lagi raheti... Chote mamu hum teeno ko gumane le jaate jab unhein fursat milti... Badi maminjaan humein islam aur deen ki taleem bhi de diyan karti aur toh aur humein man chahi cheeze bhi khane mein paka paka kar deti...
Phir chad saal baad chote mamu ki shadi ho gayi...
Hiba ne 12 jamat tak wahi hindi medium se apni taleem mukammal ki aur maine english medium. Mein 8 jamat tak...
Waha gaon mein ek hi school english medium tha wo bhi 8 jamat tak sara ne bhi mere sath hi school mein taleem hasil ki thi ...hum dono bade hi ache dost the har kaam sath sath karte...hiba aur mera kharchapani baba bhijwa diya karte the...phir baba hum dono ko wapas le aaye the sahar mein badi hi minnat ki thi mamu se ke wo mere sath aa jaye magar mamu na maane...sara ne bhi koshish ki magar mamu ne baad mein aane ko kaha phir na chahte hue bhi hum lahore aa chuke the....
Mein aur hiba jab sahar aaye toh hamara phele kuch mahino toh dil na laga phir hum jaise uss mahol ke aadi se hogaye the magar gao ki yaadein aaj bhi hamre dilo zinda thi...
Khuda hafiz mere azeez doston ...
Important : ye kahani asal nhi balke meri puri imagination h toh berai maherbani aao log isse asal na samjhe ha albata kuch kirdaro ki kuch baate maine kuch asal logo se milti jhulti hui h... Magar pura novel nhi....