Chapter 1
Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim
Daana Paani
Qist Number 01
Umera Ahmed
Alif Allah chambe di booti man vich murshid laayi ho
Nafi asbat da paani miliya har rag har jaayi ho
(Alif se Allah ka naam shuru hota hai, mere murshid ne mere dil mein chambeli (Allah ki mohabbat) ki qalam lagayi hai main ne us pouday ki nafi asbat ke pani se aabyari ki (Nafi: Laa ilaaha asbat: Illallah) aur us ki khushboo ko apne har rag o reshay mein basa liya.)
Gamoo Mashki ki buland aawaz har roz ki tarah us subah bhi jhook jeewan ki fizaon mein door tak koyal ki kook ki tarah goonj rahi thi. Woh Haq Bahoo ka kalaam parhna shuru hua tha. Har roz ki tarah Fajr ke baad gaon ke kunwein par charkhi ke saath apni mashk baandh kar kunwein mein phenktey huay Gamoo baray jazb se woh kalaam shuru kar deta tha.
Peer miley te peer na jaaway, oh peer kee karda ho
Jis murshid thin rushd na ho dey, oh murshid kee karna ho
(Peer miley aur dard na jaay aisay peer ko mat maano
Jis murshid se rehnumai na miley, aisay murshid ko kya karna)
Kunwein ki charkhi ghuzar ghuzar kar ke ghoomti jaa rahi thi aur us par laiti rehi mashk ke wazan se khulti jaa rahi thi aur Gamoo charkhi ko aur taizi se ghumaata Hazrat Sultan Bahoo ka kalaam baray jazb se parhta hua kisi aur jahaan pohancha hua tha. Na usay Quran aata tha na Hadees bus aata tha to Haq Bahoo ka kalaam jo uss ne apne baap ko sun sun kar ratta tha. Bachpan mein kabhi maa baap ne Qurani qaida parhaya tha aur pehlay siparay se pehlay hi baap ki mout ne Ghulam Muhammad ke haath mein siparay ki jagah paani ki mashk pakra di jo us ke qad se bhi barri thi. Aur woh Ghulam Muhammad se Gamoo Mashki ho gaya aur yeh kaam uss ne bari khushi khushi apne sir liya tha.
Woh jaddi pushti mashki tha. Baap dada bhi yehi kaam karte thay aur usay bhi baap ke saath bachpan se hi gaon ke kunwein par ja kar..........
🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊