𝐂𝐇𝐀𝐏𝐓𝐄𝐑-1
*"Meri zindagi ki sabse badi khwahish?"* Ballpoint honthon mein dabaye woh soch mein pad gayi. Phir ek lamba saans lete hue, thodi si bebasi se muskurayi.
"Bahut mushkil hai is sawaal ka jawab dena."
"Kyun mushkil hai?" Javeria ne usse poocha.
"Kyunki meri bahut saari khwahishein hain, aur har khwahish hi mere liye bahut important hai." Usne sar jhatakte hue kaha.
Woh dono auditorium ke pichhle hisse mein deewar ke saath zameen par tek lagaye baithi thi.
FSc classes mein aaj unka aathvaan din tha aur us waqt woh dono free period mein auditorium ke pichhle hisse mein aakar baith gayi thi. Namkeen moong phali ke daanon ko ek-ek karke khaate hue Javeria ne usse poocha.
"Tumhari zindagi ki sabse badi khwahish kya hai Amamah?"
Amamah ne thodi hairani se usse dekha aur soch mein pad gayi.
"Pehle tum batao, tumhari zindagi ki sabse badi khwahish kya hai?" Amamah ne jawab dene ki bajaye ulta sawaal kar diya.
"Pehle maine poocha hai, tumhe pehle jawab dena chahiye." Javeria ne gardan hilayi.
"Achha... theek hai... mujhe aur sochne do." Amamah ne foran maante hue kaha. "Meri zindagi ki sabse badi khwahish?" Woh badbadayi. "Ek khwahish toh ye hai ki meri zindagi bahut lambi ho." Usne kaha.
*"Kyun...?"* Javeria hansi.
"Bas pachas, saath saal ki zindagi mujhe badi chhoti lagti hai... kam se kam sau saal toh milne chahiye insaan ko duniya mein... aur phir main itna sab kuch karna chahti hoon... agar jaldi mar jaungi toh phir meri zindagi ki saari khwahishat adhoori reh jayengi." Usne moong phali ka ek daana muh mein daalte hue kaha.
"Achha aur...?" Javeria ne kaha.
"Aur ye ki main mulk ki sabse badi doctor banna chahti hoon... sabse achhi eye specialist. Main chahti hoon jab Pakistan mein eye surgery ki tareekh likhi jaye toh usmein mera naam top of the list ho." Usne muskurate hue aasmaan ko dekha.
"Achha aur agar kabhi tum doctor na ban sako toh...?" Javeria ne kaha. "Aakhir ye merit aur kismat ki baat hai."
"Aisa mumkin hi nahi hai. Main itni mehnat kar rahi hoon ki merit par har soorat aaungi. Phir mere walidain ke paas itna paisa hai ki main agar yahan kisi medical college mein na ja saki toh woh mujhe beroon-e-mulk bhejwa denge."
"Phir bhi agar kabhi aisa ho ki tum doctor na ban sako toh...?"
"Ho hi nahi sakta. Ye meri zindagi ki sabse badi khwahish hai, main is profession ke liye sab kuch chhod sakti hoon. Ye mera khwaab hai aur khwaabon ko bhala kaise chhoda ya bhulaya ja sakta hai. Impossible..."
Amamah ne qatayi andaaz mein sar hilaate hue hatheli par rakhe hue daanon mein se ek aur daana muh mein daala.
"Zindagi mein kuch bhi na mumkin nahi ho sakta... kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai, farz karo ki tum doctor nahi ban paati ho toh? Phir tum kya karogi? Kaise react karogi?" Amamah ab soch mein pad gayi.
"Pehle toh main bahut roungi. Bahut hi zyada... kayi din... aur phir main mar jaungi."
Javeria be-ikhtiyaar hansi. "Aur abhi kuch der pehle toh tum keh rahi thi ki tum lambi zindagi chahti ho... aur abhi tum keh rahi ho ki tum mar jaogi."
"Haan toh phir zinda reh kar kya karungi. Saare plans hi mere medical ke hawale se hain... aur ye cheez zindagi se nikal gayi toh phir baaki rahega kya?"
"Yaani tumhari ek badi khwahish doosri badi khwahish ko khatam kar degi?"
"Tum yehi samajh lo..."
"Toh phir iska matlab toh yehi hua ki tumhari sabse badi khwahish doctor banna hai, lambi zindagi paana nahi."
"Tum keh sakti ho..."
"Achha... agar tum doctor na ban sako toh phir marogi kaise... khudkushi karogi ya tabai maut?" Javeria ne badi
*"Tabai maut hi marungi... khudkushi toh kar hi nahi sakti."*Aamnah ne la-parwaahi se kaha.
*"Aur agar tumhein tabai maut na aa saki toh... mera matlab hai jald na aayi toh phir toh tum doctor na banne ke bawajood bhi lambi zindagi guzaarogi."*
*"Nahi, mujhe pata hai ki agar main doctor na bani toh phir bahut jald mar jaungi. Mujhe itna dukh hoga ki main toh zinda reh hi nahi sakungi."* Woh yaqeen ke saath boli.
*"Tum jis qadar khush mizaaj ho, main kabhi yaqeen nahi kar sakti ki tum kabhi itni dukhi ho sakti ho ki ro ro kar mar jao aur woh bhi sirf isliye ki tum doctor nahi ban sakin. Look funny."* Javeria ne is baar uska mazaak udaane wale andaaz mein kaha.
*"Tum ab meri baat chhodo, apni baat karo, tumhari zindagi ki sabse badi khwahish kya hai?"* Amamah ne topic badalte hue kaha.
*"Rehne do..."*
*"*"Mere profession ke alawa meri zindagi mein filhaal jin cheezon ki ahmiyat hai woh sirf ek hi hai aur agar tum uske hawale se kuch kehna chahti ho toh kaho main bura nahi maanungi."* Amamah ne sanjeedgi se kaha.
Javeria ne thoda chaunk kar usse dekha, woh apne haath mein maujood ek angoothi ko dekh rahi thi. Javeria muskurayi.
*"Meri zindagi ki sabse badi khwahish ye hai ki tum......"* Javeria ne usse apni khwahish batayi. Amamah ka chehra ek dum safed pad gaya. Woh shocked thi ya hairat zada... Javeria andaaza nahi kar saki. Magar uske chehre ke taassuraat ye zaroor bata rahe the ki Javeria ke muh se nikalne wale jumle uske har andaaze ke bar-aks the.
*"Maine tumse kaha tha na tum bura maanogi."* Javeria ne jaise safai pesh karne ki koshish ki magar Amamah kuch kahe baghair usse dekhti rahi.
*"Tumhein bura lagega?"* Javeria ne kuch hichkichate hue kaha.
Amamah ne gardan mod kar hairani se usse dekha. *"Mujhe kyun bura lagega?"*
Javeria khamosh rahi.
*"Aisi kya baat hai jo mujhe buri lagegi?"* Amamah ne apna sawaal dohraaya.
*"Buri lagegi."* Javeria ne maddham aawaaz mein kaha.
*"Aakhir tumhari zindagi ki sabse badi khwahish ka meri zindagi se kya taalluq hai ki main us par bura maanungi."* Amamah ne is baar thoda uljhe hue andaaz mein poocha. *"Kahin tumhari ye khwahish toh nahi hai ki main doctor na banun?"* Amamah ko achanak yaad aaya.
Javeria hans di. *"Nahi... zindagi sirf ek doctor ban jaane se kahin zyada ahmiyat ki haamil hoti hai."* Usne kuch falsafiyana andaaz mein kaha.
*"Paheliyan bhijwana chhod do aur mujhe batao."* Amamah ne kaha.
*"Main waada karti hoon, main bura nahi maanungi."* Amamah ne apna haath uski taraf badhaate hue kaha.
*"Waade karne ke bawajood meri baat sunne par tum buri tarah naraaz ho gi. Behtar hai hum kuch aur baat karein."* Javeria ne kaha.
*"Achha main andaaza lagaati hoon, tumhari is khwahish ka taalluq mere liye kisi bahut important cheez se hai... right?"* Amamah ne kuch sochte hue kaha. Javeria ne sar hilaya.
*"Ab sawaal ye paida hota hai ki mere liye kaunsi cheez itni important ho sakti hai ki main..."* Woh baat karte karte ruk gayi.
*"Magar jab tak main tumhari khwahish ki nauiyat nahi jaan leti main kuch bhi andaaza nahi kar sakti. Bata do Javeria... please... ab toh mujhe bahut hi zyada tajassus ho raha hai."* Usne minnat ki.
Woh kuch der sochti rahi. Amamah gaur se uska chehra dekhti rahi, kuch der ki khamoshi ke baad Javeria ne sar utha kar Amamah ko dekha.
*"Mere profession ke alawa meri zindagi mein filhaal jin cheezon ki ahmiyat hai woh sirf ek hi hai aur agar tum uske hawale se kuch kehna chahti ho toh kaho main bura nahi maanungi."* Amamah ne sanjeedgi se kaha.
Javeria ne thoda chaunk kar usse dekha, woh apne haath mein maujood ek angoothi ko dekh rahi thi. Javeria muskurayi.
*"Meri zindagi ki sabse badi khwahish ye hai ki tum......"* Javeria ne usse apni khwahish batayi. Amamah ka chehra ek dum safed pad gaya. Woh shocked thi ya hairat zada... Javeria andaaza nahi kar saki. Magar uske chehre ke taassuraat ye zaroor bata rahe the ki Javeria ke muh se nikalne wale jumle uske har andaaze ke bar-aks the.
*"Maine tumse kaha tha na tum bura maanogi."* Javeria ne jaise safai pesh karne ki koshish ki magar Amamah kuch kahe baghair usse dekhti rahi.
✯✯✯✯✯✯✯


![Fated to My Ex- Best Friend [Moving to Galatea]](https://cdn-gcs.inkitt.com/vertical_storycovers/ipad_49edb1dbf9a28b50b9c4d68d8598359b.jpg?width=1920&quality=75)







