Chapter 1
Short story
Romantic, Suspense and Emotional💐🫠
Woh dulhan bani baithi us ka intezar kar rahi thi. Aarv kamre mein aaya, woh pehle ghabrai, phir sharma gayi. Us ke sharmane ka ehsas Aarv ko bhi hua tha lekin kuch keh na saka to halka sa muskura diya. Anaya ke ghoonghat se us ka chehra dekh pana namumkin sa tha par Aarv jaanta tha is waqt woh tamam pariyon se zyada pyari aur tamam blusher se zyada blush kar rahi hai. Jaise jaise Aarv ke qadam Anaya ki aur uthe, in dono ki dharkanein ek dusre ka sath chorne lagi theen. Woh Anaya ke paas bed pe baithne se pehle door se dekhta khara raha phir dheere se poocha, "Kya mein baith sakta hoon?" Jawab mein Anaya ne apna ghoonghat mein chupaya hua sar haan mein hila diya. Aarv bed par baitha tha ke Anaya ki jaan us se kehne lagi ke woh bhag jaye kahin par woh bhagna bhi nahi chahti thi. Ek dam se us ne apne haathon se apne suit ko pakar liya zor se aur us ki sansein teiz hone lagin. Aarv ne yeh bhi mehsoos to kiya par is baar bhi khamosh raha phir dheere se salam kiya aur apni jeeb se ek dabba nikal kar saamne rakh diya aur kaha, "Yeh aap ki munh dikhai ka tohfa hai." Yeh keh kar us ne dheere se ghoonghat uthaya phir ek dusre ko dekh kar smile kar gaye aur jo Aarv ne socha tha bilkul wesa hi noor Anaya ke chehre pe tha. Phir haath pakar kar diamond ka bracelet pehna diya aur kaha, "Is diamond ki chamak aap ke saamne bilkul pheeki hai."
Tabhi Anaya aur zyada sharmane aur hansne lagti hai. Kamra phoolon se saja pehle hi dilkash lag raha tha par ab pyar ka ras os mein ghul jaane ki wajah se woh aur zyada khush gawari zahir kar raha tha. Yeh raat baqi raaton se alag thi jiski wajah onke darmiyan ki muhabbat ka naya naya rang tha jo os raat ko andheeri nahi balke rangeen bana chuka tha.
Aarv uthta hai wahan se aur bahar chala jata hai. Apne saamne darwaza band hote dekh kar Anaya ki jaan mein jaan aati hai aur woh ek gehra saans bhar kar kehti hai, "Uff yaar! Mujhe to laga aaj maine blush karte karte hi mar jana hai. Waise cute aur respectful to hai mere wala." Yeh keh kar woh aur hansne lagti hai. Thodi der guzarti hai to use ab bechaini hone lagti hai ke Aarv abhi tak aaye kyun nahi? Kahan reh gaye? Phir khud se hi jawab bana deti hai, "Koi nahi, neeche kisi ne kaam ke liye rok liya ho ga, mein thodi der rest kar leiti hoon." Bed se teik lagaye woh aankhein band karti hai to kuch der mein woh so jati hai. Subah khirki se aati roshni Anaya ki aankhon par parti hai to woh ek dam jaag jati hai. Woh dekhti hai idhar udhar par Aarv ab bhi nahi aaye hote. Woh sochti hai, "Aakhir woh kal raat kyun nahi aaye aur abhi bhi ghayab hain, aisa kya ho sakta hai?" Ghussa, pareshani sab mix ho jate hain. Yeh sochte sochte woh dress change karne washroom mein chali jati hai.
Ye hai part one agar apka ye acha lage to zaroor apna feedback share kareye ga 🤗🌷
Agar apko ise Sunna hai mere voice main to YouTube channel ka link description main hai .
Thanks 🎀




![Werewolf Hollow [GALATEA DATE TBA]](https://cdn-gcs.inkitt.com/vertical_storycovers/ipad_76bbf380fa2e8dc2f70694197487ab81.jpg)



