Chapter 1
Chapter 1 – A Normal Girl... Or Maybe Not?
POV: Na Ri
Hello guys!
Mera naam Na Ri hai.
Main ek bilkul aam si college student hoon. Meri zindagi bohot boring hai. Roz subah uthna, college jana, lectures attend karna, ghar wapas aana aur homework karna... bas itna hi.
Kabhi kabhi main sochti hoon...
“Kya meri zindagi mein kabhi koi interesting cheez bhi hogi?”
Lekin meri boring life mein ek cheez zaroor hai... Math.
Aur sach kahun...
Mujhe Math se sakht nafrat hai.
Jab main Grade 3 mein thi, Math ke test mein mere sirf 5 marks aaye the.
Teacher ne poori class ke saamne mujhe daant diya tha.
Sab se buri baat...
Mera crush bhi wahi khara tha.
Us din ke baad maine faisla kar liya tha...
“Math meri sab se badi dushman hai.”
Us din ke baad na mujhe numbers pasand aaye... aur na hi equations.
Chalo... boring baatein bohot ho gayin.
Raat ho chuki thi.
Mujhe bohot bhook lag rahi thi.
Kitchen mein sirf strawberry milkshake aur ek chhota sa cake tha.
“Mujhe isi se kaam chalana padega...”
Main tray lekar drawing room ki taraf ja hi rahi thi ke doorbell baj gayi.
Mama ne darwaza khola.
Kuch mehmaan aaye the.
Main chup chaap apna glass lekar side se nikalne lagi...
Tabhi meri nazar bahar khare do larkon par padi.
Dono bohot handsome the.
Main bas unhein dekhte hi reh gayi.
“Lagta hai kisi Korean drama se nikle hain...”
Achanak un mein se ek ne meri taraf dekha.
Main ghabra gayi.
“Haye Allah... usne mujhe dekh liya!”
Main foran apne room ki taraf bhaag gayi.
Bed par let kar sirf ek hi baat soch rahi thi...
“Ye log kaun the?”
Mujhe bilkul andaza nahi tha...
Ke un mein se ek meri zindagi hamesha ke liye badal dega...Subah aankh khuli to meri nazar gari par padi.
“Iakin ... main late ho gayi!”
Mama ne neeche se awaaz lagai,
“Na Ri! Pehle breakfast kar lo.”
“Mama, time nahi hai! College se aakar kha lungi.”
Main jaldi jaldi bag uthakar ghar se bahar nikli.
Jaise hi gali ke kone tak pohanchi, meri nazar kal wale do handsome larkon par padi.
“Dobara yehi...?”
Mera dil halka sa muskuraya.
Main foran ek poster ke peeche chup gayi aur unhein dekhne lagi.
Tabhi building ke andar se do aur larke bahar aaye.
“Wait... inke aur bhi dost hain?”
Charon ek saath kharay baat kar rahe the.
Us waqt meri best friend Soha ki call aa gayi.
“Na Ri! Kahan ho? Jaldi college aao!”
Main phone par baat kar hi rahi thi ke achanak meri nazar glasses wale larke se mili.
Usne seedha meri taraf dekha.
Mera dil itni zor se dhadakne laga ke mujhe apni saansein sunai dene lagin.
“Woh... meri taraf hi aa raha hai.”
Har qadam ke saath meri ghabrahat barhti ja rahi thi.
Woh mere saamne ruk gaya.
“Tum hamari pictures le rahi thi?”
Uski awaaz bilkul thandi aur sakht thi.
Main ghabra kar boli,
“N-Nahi! Main aisa kyun karungi?”
Usne meri baat par yaqeen nahi kiya.
“Then show me your phone.”
Main ne foran phone apne peeche kar liya.
“Bilkul nahi. Ye mera personal phone hai.”
Ek pal ke liye dono khamosh ho gaye.
Phir usne phone lene ke liye haath badhaya.
Main ne phone mazbooti se pakad liya.
“Don’t touch my phone!”
Ek pal...
Doosra pal...
Aur phir...
Dharr...!
Phone hum dono ke haathon se phisal kar seedha zameen par gira.
Main ne kapte hue haathon se phone uthaya.
Screen poori tarah toot chuki thi.
Meri aankhon mein aansu aa gaye.
“Ye... ye tumhari wajah se hua!”
Main ne gusse se uski taraf dekha.
Lekin uske chehre par koi expression nahi tha.
Na “Sorry.”
Na koi safai.
Bas ek thandi nazar...
Aur woh bina kuch kahe mud kar chala gaya.
Main wahi khari reh gayi.
Toota hua phone...
Kapte hue haath...
Aur dil mein sirf ek baat...
“Main tumse nafrat karti hoon...”
End of Chapter 1>>>>....










