CHAPTER 01: Beyond the walls
Aasman par badal chhaye hue the. Door faza mein do parinday par phailaye urr rahe the aur hawa khamoshi se guzar rahi thi. Har taraf ek ajeeb sa manzar tha, magar us manzar mein chhupi bechaini ko nazarandaz karna aasaan nahi tha.
Ek wasee ground ke chaaron taraf buland-o-baala deewarein khari thin. Un deewaron ke darmiyan ek poora shehar aabaad tha, jahan logon ka hujoom jama tha.
Magar un chehron par mamool ki zindagi wali raunaq nahi thi.
Har taraf khauf aur hairani numaya thi. Log sakht kharay, apni nazrein upar jamaye hue the, jaise unki aankhon ke saamne koi aisa manzar aa gaya ho jis par yaqeen karna mushkil tha.
Aakhir aisa kya tha jisne itne saare logon ko yun khamosh aur khaufzada kar diya tha?
Nigah jab us buland deewar ki taraf uthi, toh wahan ek ghair-maamooli haath nazar aaya. Woh itna bada tha ke uska wajood hi kai sawaal paida kar raha tha.
Yeh kis ka haath tha?
Kya woh kisi insaan ka ho sakta tha? Ya kisi aise makhlooq ka jiski maujoodgi ka tasavvur bhi aam insaan ke liye namumkin tha?
Us lamhe, us haath ki haqeeqat se zyada hairat-angez baat yeh thi ke kisi ko bhi nahi maloom tha ke deewar ke us paar aakhir kya maujood hai.





![Fated to My Ex- Best Friend [Moving to Galatea]](https://cdn-gcs.inkitt.com/vertical_storycovers/ipad_49edb1dbf9a28b50b9c4d68d8598359b.jpg?width=1920&quality=75)




