ISHQ E DASTAN Ka Chapter 1
ISHQ-E-DASTAN - Chapter 01
By Anfa
Shaam ka waqt tha. Aasman par badal chaye hue the. Halki halki barish shuru ho gayi thi.
Ayesha college se wapas aa rahi thi. Uske haath me kitaabein thi aur wo jaldi jaldi ghar ja rahi thi ke barish tez na ho jaye.
Tabhi achanak...
Uska pair phisla aur wo kisi se takra gayi!
Uski saari kitaabein neeche gir gayin. Barish me bheeg gayin.
"Arey dekh kar nahi chal sakti?" Ek larke ki awaz aayi.
Ayesha ne gusse se upar dekha. Saamne ek lamba sa larka khara tha. Baalon me barish ke qatre, aankhon me gussa aur haath me uski kitaab.
"Tumne mujhe takkar maari hai!" Ayesha ne kaha.
"Main ne? Tum khud tez chal rahi thi," larke ne kaha.
Ayesha ki aankhon me aansu aa gaye. Uski kitaabein kharab ho gayin thi.
Larke ne jab uski aankhon me aansu dekhe to uska gussa naram par gaya.
"Sorry... main... main Arham hun," usne dheemi awaz me kaha aur uski kitaabein uthane laga.
"Ayesha..." Ayesha ne bhi dheere se kaha.
Barish tez hoti ja rahi thi. Dono ek hi chhat ke neeche khare the. Khamoshi thi, sirf barish ki awaz thi.
Arham ne apni chhatri Ayesha ki taraf barhai.
"Ye lo, tum bheeg jaogi."
"Nahi, mujhe nahi chahiye," Ayesha ne mana kar diya.
"Ziddi ho," Arham ne muskura kar kaha.
Us waqt Ayesha ko pehli baar laga ke uska dil kuch alag tarah se dharak raha hai.
Kya ye sirf ek takkar thi? Ya yehi ISHQ-E-DASTAN ki pehli line thi?
kya in ko ishq hou ga ya nhi
--------------------------------------------------------------------------
Chapter 2 ka lie comment kara









